shadi ka maqsad aur faida questioner k swal par comments karny sy pehly main myrizvi k above comments par aitraaz karna chahon ga , ooper jo b tahreer kia geya hay wo basically shadi ka maqsad nahi balky shadi ka faida hay , jis trah taleem ka maqsad zehan ko hadayet lainy aur qabool karny k liye tyaar karna hota hay jab k taleem ka faida yeh k job mil jati hay , ghar ki guzar oqat ho jati hay , insan mu'ashry ka parrha likha rukan ban jata hay waghaira waghaira , magar hum sab ny fee zamana taleem k hasool ka maqsad mehaz job lainy ya business start karna samjh rakha hay aur issi waja sy taleem hasil karty hain
issi trah shadi ka asal maqsad jo islam ny define kiya hay wo yeh hay k aik mard aurat ki aur aik aurat mard ki Islamicaly takmeel kary , sexual desire ki halal fulfilling , ghar ki takmeel ho jana , olad ka hasool ya nasal-e-insani ki afzayesh yeh mehas shadi k faidy hain , maqsad nahi hain
@topic
re "mera saval ye hai k ky me is tarah ki ladki se shadi karsakta hu jo haiz se nahi hoti hai or aage b hone k koi ummeed nahi hai?"
sab sy pehly to questioner sy hi yeh sawal hay k unhain kaisy pata chala k aurat ko haiz nahi hota aur aynda b na hony ki tuwaqqo hay ??
iss k baad , kisi b trah agar pata hay to swal ka answer yeh hay k aurat ko mehaz bacha dainy wali aik masheen , ya sexual desire ki takmeel k liye hi biyah kar ghar main nahi laya jata , yeh sab insan ki fitri khwahishaat hain jin ko insan shadi ka maqsad samjhta hay , main bar bar yeh arz kar chuka hon k yeh shadi k faidy hain , aur inn fowaiyed ka hasool har insan ko karna chahiye
laiken inn fowayed ko shadi ka maqsad na samjha jaye , jab insan shadi ka asal maqsad jo k islam k nazdeek hay ko samjh lay to phir iss sawal ki gunjaiesh hi khatam ho jaye gi , magar aysa hona na mumkin hay , lehaza questioner ko mashwara hay k agar wo halaq-e-khuda par reham ki niyat sy ya phir kisi ka sahara ban'na chahta hay to mazkoora khatoon sy shadi kar sakta hay , aur agar olad ka hasool , apny khandan ko expand karny ki khawahish hay to aik aurat k hoty howy dosri shadi b ki ja sakti hay |