Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Mumps Treatment In Urdu
Mumps Treatment In Urdu
Measles In Urdu | Khasra
Measles In Urdu | Khasra
Chicken Pox In Urdu
Chicken Pox In Urdu
Hepatits Types And Treatment In Urdu
Hepatits Types And Treatment In Urdu
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Discussion on Peer E Kamil (Original Topic)

Religion and Culture
 
 
 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:12th Feb 2009, 3:19am
 

jawaab

 sawaal: islam woh wahid mazhab hae jo qurbani mangta hae jis main dakhil hotay hi insaan pe duniya walon ki taraf se sab darwaze band hojatay hain . chahay insaan kitna hi sound family se taluq na rakhta ho usay sab kuch qurban kar k islam main dakhil hona parrta hae kiya koi bataye ga k is Azmaish ka kiya maqsad hae?

Jawab: kuch paanay k liyeh kuch khona paRta hai... kuch lenay k liyeh kuch denaa parta hai. maslan aap jetni baRi gaaRi / makaan etc lena chaahtay hain aap ko ossi hissab say otnaa hi zeyadah bank balance khali karna paregaa.... and vice versaa k agar aap ko bahoot saa rupee chahiyeh to apni qeemti say qeemti shaii deni paregi like ghar, zewar etc........ jetni zeyadah qeemti cheez aap talab karengay otni zeyadah aap ko qeemat deni paregi otni hi zeyadah (apni pasandeedah ashyaa ki) qurbaani deni paRegi...

jab aik bandah kufr k andheray say islam ki raushni maiN imaan ki daulaat say faizyaab hotaa hai to issay apnay iss imaan ki qeemat to adaa karni paRegi. cheezouN, paisouN, azeez o aqaarab ki qurbaani to deni paRegi.... Allah quran maiN kahta hai k kia hum tumharay imaan ki aazmaish nahi karengay? beghair test /aazmaish k imaan ko kaisay partkhaa jayegaa k yeh asli hai yaa naqli... khud ahlay imaan ki bhi aazmish hoti rahti hai..... magar jo kufr say islam maiN daakhil honay ka elaan kartay haiN onki aazmaaish nomayaaN nazar aati hai.

mera to yehi khayaal hai... aap ka kia khayaal hai

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:14th Feb 2009, 12:37am
 

myrizvi bhai

aap ne bohat acha aur detailed answer diya hae jazak Allah.

lekin abb sawal yeh peda hota hae k non muslims ko to pata hae k woh islam se mehroom hain lekin jo islam k dawedar hote huwe bhi ghair Nabi ko Nabi banaye huwe hain un ko sahi rasta kaise dikhaya jasakta hae? beshak woh apnay amaal main hum se  ziada ache hon lekin jab tak Khatme Nabuwat (S.AW.W)par imaan na ho to sab amaal akarat gaye to konsa aisa tareeqa hae k un ko Rahe barhaq dikhaya jaye?

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  29  
Posted on:14th Feb 2009, 12:45am
 

I think

Yeh Khuda taala ki Qudrat hi hai k jo bnda Dayera-e-Islam main dakhil hota hai pehle ussey aazmayesh ka saamna krna parrta hai, chaahey woh kisi b shakal main ho. Yeh Khuda ka nizaam hi keh lain ke jo bnda inn imtehaanun main surkharoo ho jaaey tou woh aik acha aur paka muslimaan bn jata hai aur jin ke iraadey pukhta na hoon woh waapis apni line par chaley jaatey hain. Shayed inn imtehaanun ka maqsad hi uss bnde ka imaan check krna hota hai ya shayed khuda taala ko yeh pasand hi nahin k uske bnde k dil main uske ya uske aakhri Nabi (SAW) ke baarey main koi khhot ho.

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  29  
Posted on:14th Feb 2009, 12:48am
 

Aur

Main ne b 1-2 aise Non-muslims dekhay hn jinhun ne Islam qabool kia lekin phir apni brothery ke pressure main dobara Non-Muslim hi bn gye. Shayed Iss liey Allah taala shuru main hi aazmayesh ke zariey Iman ki pukhtagi check kr letay hain..

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:14th Feb 2009, 12:55am
 

Bhimji sahib

ji beshak Allah pak behtar jan,ne wala hae aur woh apnay bandon ko azmata hae. jazak Allah for nice reply
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:14th Feb 2009, 1:18am
 

Monkareen.e.khatmay Nabwat SAW

yeh bahoot mushkil sawaal hai

aap jiss group ki baat kar rahi haiN... in ki 2 aqsaam haiN... aik woh jo jaan boojh kar... khatmay nabwat ki haqeeqat ko samajhtay howay... ba wajooh... kissi ghair nabi ko nabi maantay haiN...... to amooman aisay logouN ko raahay raast par laanaa mushkil hi naheeN naa.mumkin hota hai...... jaisay grohay monaafeqeen ko raahay raast par laanaa mushkil hota hai k yeh jaan boojh kar islam dushmani maiN mobtalaa hotay haiN...... aisay hi islam dushmani par kamar bastah ... ghair nabi ko nabi maannay walouN par to  waqt zayaa karna fazool hai.........

albattah ossi groh k common log jo mahaz apnay parents k "deen" par aankh band karkay follow kartay haiN aur haqeeqat maiN "islam dushman" nahi hotay inn par kaam kia jasakta hai... agar yeh log hamaray raabitay maiN houN to in say tareeqay say bahas mobaahisa karkay... inhaiN literature day kar.... khatmay nabwat k haq maiN.... aur so called new nabi ki asal haqeeqat par mabni books day kar..... inhaiN raahay raast par layaa jasakta hai...

isi tarah ka aik firqah bahaa'ee bhi hai jo aik aur jhootay Nabi ko maantaa hai... inka aik tableeghee ijlaas maiN meray aik dost (ostaad NED & poet) bhi shareek thay... bahaa.yee bhi quran o Muhammad saw ko nabi maannay k baad aik new nabi ko maantay hain... moqarrar nay jab new nabi ki "zaroorat" par raushni Daali k (nauzo billah) hazrat Muhammad ki taleemaat oldhogayee hain aaj nayaa daur hai naye taqazay haiN lehazaa aik new nabi aaj k ahad ka hona zaroori hai.... mera dost fauran khara hogaya aur kahnay lagaa..... (hikmatan)... k ap ki baat meray dil ko lagi aur maiN aap ki baat par aur aap k nabi par imaan lataa houN...... magar aap k nabi ko bhi guzray howay kaafi arsaa hogayaa... aaj computer, internet aur tech ka daur hai jis say aap k pichlay nabi waaqif nah thay aur maiN NED k ostaad ki hasiyat say aaj k ahad ki zaroorat ko aap k oss nabi say zeyadah jaantaa houN... lehaza maiN aaj apni nabwat ka elaan karta houN aur tamam bahaayee bhai'youN say request karta houN k woh meri nabwat par imaan laanay ka elaan karaiN...... bus phir kia thaa..... mahfil ka rung hi badal gayaa.... aur onki tableeghi nashisht onhi k khelaaf hogayee....

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:14th Feb 2009, 1:33am
 

aik ahmadi say mokaalmah

mera bhi aik ahmadi say Taakra howaa thaa... jab maiN F.Sc. ka student thaa aur khatmay nabwat saw par imaan to rakhtaa thaa magar quran o hadees aur aqli dalaail say naa waqif thaa jo khatmay nabwat k haq maiN haiN... oss ahmadi dost nay mujhay booklet denay shooroo kardiyeh... jo ahaadees aur quran ki tafseer par mabni thay.... aur ahmadi nabi k haq maiN thay... maiN onki dalaail say motasir to nah howaa magar mujhay jawaab bhi nah milaa jo ossay day sakouN......... chunaanchah maiN HAQ ki talaash maiN raha k meri nazar soorat Al-Ahzaab ki oss ayat ki tafseer par paRee.... quran maiN sirf issi ayat maiN Allah taalaa kahtaa hai k ... Muhammad khaatamun.Nabiyyeen haiN... iss lufz "kahaatamunn.nabiiyyen" ki tafseer tafheemul qura'an vol-IV maiN maulana maudoodi nay aik wasee literature jamaa kiaa hai....... aur 13 sadee tak (qabl az ahmadiyyat) ... iss ayat ki tafseer maiN mukhtalif mofassereen nay jo kuch likha hai oski summary jama kardi hai..... phir ahadees yakjaa ki haiN...... phir aqli dalaail diyeh haiN....... ghaleban yehi sab kuch likhnay aur radday qaadiniyat par onhaiN dauray ayyubi maiN phaansee ki sazaa mili thee (magar amal nah hosakaa)......... iskay elawah khatmay nabwat waalouN nay bhi kaafi literature publish kia hai............. maiN nay jab yeh notes lay kar apnay oss ahmadi saathi k saath sawaal jawaab kia to woh laa jawaab hogayaa... aur oskay pass koi daleel baqi nahi rahi ahmadiyat k haq maiN....... pata nahi woh taaib howaa yaa nahi magar jald hi woh wafaat pagayaa....... kahnay ka matlab yeh hai k banday k pass update knowledge /books maujood ho 1) khatmay nabwat k haq maiN 2) ahmadiyat ki asal tasweer par mabni aur oskay jhootay nabi ki asal zindagi aur kaaristaani k baray maiN.... to hum kissi say bhi bahas karsaktay haiN aur agar oskay dil maiN haq ki talab hogi to woh wapis muslim hosakta hai...... hum sirf koshish karsaktay haiN... hedayat to Allah hi day sakta hai
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:14th Feb 2009, 1:42am
 

myrizvi bhai

Dua karain k Allah pak is topic k zariya hi kuch logon k Dil main hidayat ka noor bhar de aur Seedhi raah dikha de aur humain apnay imaan pe isteqamat naseeb farmaye.(ameen)

aap k concern ka bohat shukriya mazeed sawalat k sath jald baat hogi:)

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  29  
Posted on:14th Feb 2009, 1:51am
 

Maryam:

Aap ne tou iss topic ko Tariq Aziz show bna ke rakhh dia hai.

Mazeeb swalaat ke sath jald baat hoo gi. Apna kheyal rakhheiga aur apni host Maryam ko ijazat dein. Allah Hafiz.. 

hehehehe

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:14th Feb 2009, 2:02am
 

bhim ji sahib

ji abb main kiya karon mujhay topics discussion  nahi ati  na:) isliye isay Tariq jameel show samjhain:)
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  38  
Posted on:15th Feb 2009, 12:02am
 

Khatm e Nubuwwat

Khamt e Nubuwwat Allah k payaray Rasool Hazrat Muhammad (PBUH) ki Chaadar hae aor koi is ko cheen nahi sakta , agar aap Khatm E Nubuwwat ka inkar kar dete hain (kisi bhi mafhoom main) phir baqi kuch nahi bachta bhalay aap kitni nimazain adaa karain aor kitnay he rozay rakhain, Aqeeda khatm e nubuwwat ka inkar karne wale Islam ka koi maslik ya firqa nahi hain, Islam k matwazi eik alag mazhab hae. aap kisi ko Islam ki tableegh karte rahain ho sakta hae aap ki tableegh asar na kare aor koi aisa non muslim bhi ho sakta hae jo beghair kisi tableegh k sirf Allah ki meherbani se he hidayet ki tarf aa jaye. isi tarah is novel main ye baat bhi samne aaie hae k hum zahri tor pe kisi k hulye k dekh ke us k emaan ka andaza nahi laga sakte, is liye kisi ko bhi haqeer nahi samjhna chahye . 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:15th Feb 2009, 3:05am
 

Ch. Babar...

well said bhai ... jazak Allah
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:18th Feb 2009, 4:30am
 

Babar bhai

jazak Allah . lekin khatme nabuwat pe sirf imaan rakhna kafi hae ya is ka amli muzahira bhi karna chahiye agar karna chahiye to kis tarah . Nabi (S.A.W.W) ki mohabbat ka kiya taqaza hae?
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  38  
Posted on:18th Feb 2009, 8:33am
 

Maryam

Khatm -e- Nubuwwat pe emaan to beherhal lazmi hae is k beghair to kisi ka Islam he qabool nahi hae.Hazrat Muhammad (PBUH) ki khas fazeelat ye hae k aap k baad koi nabi nahi aaye ga, khatm - e - Nubuwwat pe emaan aor Hazrat Muhammad (PBUH) ki muhabbat ka taqaza yahi hae k sabhi aqeeday Quran aor sunnat k mutabiq hon aor hamari zindagi bhi Quran , Sunnat k mutabiq ho is k liye Sahabah Karam (R.A) hamare liye behtreen namoona hain. 
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:18th Feb 2009, 8:50am
 

Babar bhai

jazak Allah .Allah pak hum sab k dilon ko ikhlas k sath apnay deen ki taraf pher lay (ameen)
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:18th Apr 2010, 6:40am
 

Alakh NAgri

shahaab nama k baad pak main sab se zyada  farokht honay wali kitab hae .
is k writer ka naam Mumtaz mufti hae jin k mutabiq woh aik moun zubani muslim thay lekin  unhon ne bohat si islami kutab bhi likhain jaisa k Labaik, Talash un ki doosri kutab main un ki aap beeti jsi ka naam Ali pur ka aili hae aur alakh nagri usi ka doosra hissa  hae.is k ilawa aapa, piyaz k chilkay , alaan aur jinsi nafsanay bhi shamil hain .
Mumtaz mufti ka Allah pak se taluq kuch is tarah se develop huwa k woh kehtay thay k Allah pak mujhay har chee main nazar ata hae, mujh se batain karta hae . Mumta mufti main majzoobiyat ki jhalak bhi wazeh thi .
aap k doston main Ashfaq ahmed, bano qudsiya aur Qudratullah shahaab aur Ibne insha  jaise azeem log shamil hain .go k yeh kitab bhi in ki aap beeti hae lekin is main markazi hesiyat Qudratullah shahaab ki hae .
Quratullah shahaab ka aap k baray main kehna hae k mumta ki osti aik phoRay ki maind hae jis ki teeson main lazat hae . isi tarah Qudrat sahib ka khayal hae k mumta mufti sahib aqeeday k bajay aqeedat paltay rhay.
is kitab  main is baat pe zor diya gaya hae k marnay k baad bhi bazurg fa,aal rehtay hain aur apnay perokaron ki rehnumai kartay rehtay hain .
agar aap main se kisi ne yeh novel read kiya hae tou plz is pe apni roy ka izhar karain . umeed hae k aik aur kitab ki roshni main kuch aur concepts clear hongay .




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:18th Apr 2010, 7:24am
 

best seller pakistani book ???

jawaid chaudhry aj k ahad k naujawaan sahafi haiN.... last 18 salah dauray sahafat main onhouN nay 40 /50 salah tajarbah kaar sahafiyoun ko peechay choR dia hai.... onkay column sab say zeyadah paRhay jatay hain...woh ajkal daily express maiN column likhtay haiN aur express tv channel par talk show kartay hain... onkay colum prime minister, chief justice say lay kar aik aam aadmi bhi paRhtaa hai

2000 main onkay colums ka pahla majmoo'a (zero point-1) publish howaa... ab tak zero point-6 tak chap chukay hain....... sirf iss pahlay majmoo.ay k ab tak 192 editions chap chukay hain goyaa har 17th day main aik edition... agar har edition sirf 1000 each ka bhi ho to iss book k koi 2 lac books chap chukay haiN..... jawaid chaudhry ko onki books ki royalty maiN ab tak more than 2 cror rs mil chukay hain......

pakistan ki tareekh maiN aj tak koi book iss tadaad maiN nah chapi hai aur nah kissi author ko books say iss qadar income howi hai........

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:19th Apr 2010, 10:49pm
 

best seller book in 90s

shahaab nama 90s ki dahai ki best seller rahi hae .is kitaab main Mumtaz sahib ka sab se baRa mushahida Qudratullah shahaab sahib ki zaat hae .isi hawalay se yeh kitaab bhi shahaab nama k baad sab se zyada farokht honay wali kitab bani . Alakh Nagri ki pehli edition jo 2000 copies pe mushtamil thi "sange meel" ne 1992 main  publish ki . 1995 main is ka doosra edition "Gora publishers" ne  publish kiya 
yeh aik zakheem kitab hae aur1055 safhaat par mushtamil hae . is ki qeemat 600 Rs hae . kitab ka tana bana itna acha hae k zakhamat k bawajood kahin se bhi chornay ka dil nahi karta .
aik aur dilchasp baat k woh adeeb jinhain hum sirf adeeb ki nazar se hi dekhtay hain is main un normal zindagi k baray main hi bohat si maloomat hain. 
is kitaab ki wajah se Qudratullah Shahaab sahib k baray main jan,nay ka moqa mila . jin ka maslak "Mohammad Hood" tha aur afzal tareen ibadat "identification with Mohammad " 




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:19th Apr 2010, 11:01pm
 

Alakh Nagri

Mumtaz Mufty ki yeh kitab dekhi bhali to lagti hai, yaad nahi k paRhee bhi thi ya mahaz dekhi hi thee:) shahab Namah to onhi dinoun paRhy thee jab yeh 1st time publish howi thee aur hum issay khareednay ki sakat bhi nahi rakhtay thay... ab yeh hamri library main bhi hai...... qudratullah shahaab aur mumtaaz mufty .... islamic point of view say ... dounouN mutnaa'ze'aa hain aur 'pu'asraar bhi.... deenay islam ko samajhnay /parakhnay k liyeh kabhi bhi in dounoun writers ko parhnay ka mashwarah nahi dia jasaktaa... nah hi onki tahreerouN k hawalay say islam par koi aqeedah rakhna chahiyeh... albattah adabi hasiyat main aur samaji /seyasi issues k hawalay say dounoun ki books ko read kia jasakta hai
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:19th Apr 2010, 11:25pm
 

Alakh NAqri

is kitab k mutaliq yahan likhnay ka aik maqsad yeh bhi hae k mumtaz mufti ki shakhsiyat ko jana jaye . kyun k unhon ne bohat si islamic books bhi likhi hain . college k zamanay main, maine un ki kitab talash paRhi thi aur inspire bhi hui thi . lekin Alakh nagri read kar k bohat si conflictions ka shikar bhi hui . Mumtaz Mufti aur Ashfaq ahmed sahib aik doosre k bohat achay dost thay lekin nazriyat k hawalay se aik doosre ki zid . 
jab hum kisi writer ko read kartay hain tou us ki soch ko apnay uper musalat kar letay hain . aur agar haqaiq se taqabul na kiya jaye tou shayad usi soch ka parchar bhi kartay rahain .
1_jaise is kitab main roohaniyat ko bohat zyada bayan kiya gaya hae . writer k mutabiq is mulk k  ban,nay main bazurgon ka bohat baRa haath hae aur pakistan ban,nay se bohat pehlay bazurg is ki paishan goi kar chukay thay.
2_ bazurgon ya babon main itni taqat hoti hae k woh kisi k il ki duniya badal saktay hain aur marnay k baad zyada fa,aal (active) hojatay hain .
3_is duniya k matwazi aik aur duniya ka nizam bhi chal raha hae jo roohani nizam hae . 

1 2 3 4  >>
 
 
 
Gall Bladder | Pitta
Gall Bladder | Pitta
Stomach Problems And Treatment
Stomach Problems And Treatment
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
HIV And Aids Causes And Treatment
HIV And Aids Causes And Treatment In Urdu

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us