Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Aqal Kia Hai?

Non Medical Discussion
 
 
 
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2117  Age:   
Posted on:1st Feb 2012, 4:59pm
 

Aqal Kia Hai?

  • aqal kia hai?
  • kia aqal/samajh/zehan/dimagh (brain) ye sab aik hee cheez k mukhtalif naam hain?
  • kia Allah ki taraf se dunia mai har insan ko aqal aik barabar milti hai?
  • kia aqal ko kisi tareeqe se barhaya ja sakta hai? agar aqal ko barhaya ja sakta hai tou aqal ko barhane ka method kia hai?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:2nd Feb 2012, 4:43am
 

Aqal

  • aqal kia hai?

Ans: dastyaab maloomaat, sahooltouN aur ability ki madad say various options maiN say oss the best ka intikhaab karnay ki salahiyyat ko AQAL kaha jasakta hai (kia khayaal hai :)

  • kia aqal/samajh/zehan/dimagh (brain) ye sab aik hee cheez k mukhtalif naam hain?

Ans: dimagh /brain to aik "physical" shaii ka naam hai jo head k ander hota hai... aur khayaal kia jasata hai k aqal /samajh boojh ki salahiyyat issi brain k ander hoti hai

  • kia Allah ki taraf se dunia mai har insan ko aqal aik barabar milti hai?

Ans: g nahi... dunyaa maiN koi see bhi 2 shaii "barabar /equal" nahi hoti, hatta k finger prints bhi nahi to har indivisual ki aqal equal kaisay hosakti hai... haaN har aik ko acha khasa zakheera e aqal milta hai...kaha jata hai k dunya ka zaheen tareen scientist bhi apnay brain ka 10% hi use karta hai... baqi log to 1,2,3,4,5 % hi use kartay hongay...iss waqt bhi human-brain ka un-used part bahoot hai. brain ko jetna zeyadah use kia jaa.ay, aqal otni hi baRhti hai / istemal maiN aanay k qaabil banti hai

  • kia aqal ko kisi tareeqe se barhaya ja sakta hai? agar aqal ko barhaya ja sakta hai tou aqal ko barhane ka method kia hai?

Ans: insaani brain maiN aqal "raw form" kaseer miqdaar maiN maujood hoti hai... jaisay zameen k neechay mahfooz reservoir maiN "raw crude petroleum" k wasee zakhaair hotay haiN... ham in raw-crude ko well drill karkay nikaaltay haiN... aur refinery maiN refine karkay ready to use petrol as fuel banaatay haiN... raw crude oil ko kissi engine maiN as fuel use nahi kia jasaktaa

yehi haal brain maiN mahfooz khaam-aqal ko hawasay khamsaa (5 senses) ki madad say explore karkay ...aur issay aam moshaahidaat, experiments (own n others) etc ki madad say refine karkay use bhi kia jasakta hai aur baRhaya bhi ja sakta hai... jiss tarah jism ki regular aur proper exercise karkay jism ki jismani quwwat /ability ko baRhaya jasakta hai...issi tarah zehni exercise karkay zehan /aqal ko bhi baRhaya jasakta hai....aqal ko baRhanay k bahoot say tareeqay haiN... bahoot see books haiN, net par search karaiN to yahaaN bhi mil jayega insha Allah

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:2nd Feb 2012, 5:08pm
 

mazhab ka Aqal se koi taluq nahi

mazhab ya kisi bhi nazarya ka aqal se koi taluq nahi. mazhab paidaishi hota hai. paidaishi tor per baby ka jo brain hota hai woh bilkul blank hota hai. os brain mai jo bhi mazhab ya nazarya feed kya jaata hai wahi os person ka mazhab aur nazarya hota hai.

mazhab ya nazarya ka ikhtiar kisi ke ikhtiar mai nahi. kio keh yeh paidaishi hota hai. Albatta paidaishi tor per kisi ke brain mai mazhab ya nazarya ki weak feeding ho tu os ka Imaan Kamzor hota hai aur os ke mazhab ya nazarya change kerne ke chances rehtay hai. iss waqt dunya mai aik laakh mai aik person se bhi kam log apna mazhab change kertay hai.




Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:3rd Feb 2012, 9:19am
 

re "mazhab ka Aqal se koi taluq nahi"

wrong totally wrong ...i disagreed with .......

yeh concept abdul kareem mushtaq naami aik pakistani writer ny apni kitab main diya hay k mazhab aur hay aur aqal aur hay mera khiyal hay k bewaqoof ny b waheen sy read kar k yeh likh diya hay k mazhab ka aqal k sath koi taluq nahi hay (kitab ka name b ..mazhab aur aqal hay ..az tasneef abdul kareem mushtaq)

halan k yeh baat teh shuda hay k mazhab touch hi aqal walon ko karta ha jjis main aqal hay wo kisi na kisi mazhab ko follow karta hay aur jis main aqal nahi uss k liye mazhab ka hona na hona koi maany nahi rakhta aur jab koi maany hi nahi rakhta to baghair aqal waly ka mazhab sy kia laina daina ...lehaza mazhab ka aqal k sath buhat gehra taluq hay , taham jis main jitni aur jis trah ki aqal hogi wo waisa mazhab muntehab ya ikhteyaar kary ga

@topic

re "aqal kia hai?"

aqal allah ki khalaq karda aik aysi sifat hay jo insan ko ashraf-ul-makhloqaat banaati hay , aqal hi wo wahid zariya hay jis ny insan ko bataya k wo insan hay otherwise makhloqaat jin main aqal ko nahi rakha geya unhain to yeh b nahi pata k wo kia hain , agar insan ko yeh pata hay k wo insan hay to yeh aqal ka hi khassa hay k jis ny insan ko bata diya k wo insan hay

Hazrat Adam (a.s) k samny 3 cheezain (aqal , haya , ilam ) rakhi gayeen , hukam howa k ey Adam inn main sy aik ka intehaab karo aur 2 ko wapis lotaa do ....to Hazrat Adam (a.s) ny Aqal ka intekhab kiya , aur baqi 2 cheezon ko wapis lotana chaha magar baqi ki dono chezon ny araz ki k hum wapis nahi ja sakty q k jahan Aqal hoti hay hamara thikana b woheen hay , lehaza agar ghor kiya jaye to allah ny taqweeni insan khalaq kar k uss main aqal ka maada rakh kar insan ko sahib-e-ikhteyaar bana diya k jao duniya main meri takhleeq (insan) ko insan bana kar aur apny aap ko ashraf-ul-makhloqat sabit kar k wapis loto

re "kia aqal/samajh/zehan/dimagh (brain) ye sab aik hee cheez k mukhtalif naam hain?"

nahi , yeh sab cheezain aqal ka ghar hain , aqal nahi hain , aqal aik hujjat hay jisy insan ka zameer b kaha jata hay , yahi aqal hay jisy fitrat b kaha geya hay (fitrat ba unwan-e-amar-e-rabbi) , aqal hi sy insan , insan hay warna hewan k pas b jism hay , nafsani khawahish b hay , khany peeny ki talb b hay , sony jagny ki zarorat b hay ...sirf aqal hi wo khasa hay jo insan ko hewan sy mumtaz banaty howy ashraf-ul-makhloqaat banata hay

re "kia Allah ki taraf se dunia mai har insan ko aqal aik barabar milti hai?"

baaz oqaat hum kisi shay k bary jaan lainy ya theek sy amal karny ko aqal keh daity hain , nahi yeh b aqal ki zail main aati hay yeh b poori aqal nahi hay balky issy maharat kaha jata hay , maslan koi banda motor mechanic buhat acha hota hay , koi electrical ka behtreen kari gar hota hay , koi kisi shooby main to koi kisi shooby main apni misal aap hota hay yeh sab "maharat" ki qismain hain , jab k hum inhain aqal samjhty hain , aur kehty hain fulan mechanic buhat aqal mand hay , barri aqal mandi sy garri theek karta hay etc etc

nahi janab yeh maharat hay jo uss ny mehnat wa koshish sy aur tajurby sy seekhi hay issy aqamandi ya aqal nahi kaha jaskta , bikul ussi trah jaisy aik shair (loin) ko baaz log bahadur janwar kehty hain jab k yeh ghalt hay lion bahadur nahi balky drinda hota hay aur bahaduri aur drindgi main buhat farq hota hay issi trah aqal aur maharat main b farq hota hay laiken hum issy amoman gudd mudd kar daity hain

yahi haal hama mazhab main b hay , buhat sy log deeni amoor main buhat mahar hoty hain unnn ki yaad dasht buhat achi hoti hay wo apni baat dosry takj buhat achy andaz sy muntiqal kar sakty hain wo buhat achy speaker hoty hain wo buhat achy writer b ho sakty hain magar yeh kehna k wo buhat aqalmand hay yeh aik alag matter hay , q k aqal aur maharat main buhat farq hay..

taham aqal waheen hogi jahan brain hoga , jahan sha'oor hoga , jahan wusat-e-qalbi hogi , aur issi trah hadayet b ussi ko naseeb hogi jahan aqal hogi , warna hadayet b ooper sy guzar ka ooper hi chali jaye gi

re "kia aqal ko kisi tareeqe se barhaya ja sakta hai? agar aqal ko barhaya ja sakta hai tou aqal ko barhane ka method kia hai?"

yeh baat to koi "Aqalmand" hi bata sakta hay ...:))) yahan "Bewaqoofon" sy aap towaqqo na rakhain ...:)) thanks
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 49  Post: 3430  Age:  23  
Posted on:3rd Feb 2012, 11:26pm
 

Mazhab Ka Aqal Se Taluq Hai

Bewaqoof brother mai ye kehna chahunga ke aqal ka mazhab se taluq hai wo bi bohot gehra. jesa ke diplomate ne bi explain kiya...Agar kissi mai aqal na ho to wo mazhab ko kiya pehchane ga??? Agar brain mai kuch aqal hoo to pir Mazhab bi pehchana jaega warna ek pagal mai to aqal nahe hota to kiya oss ka mazhab/emaan mazboot hota hai?? Nahe bilkul nahe ek pagal mai aqal nahe hota as well as mazhab bi nahe hota.

Mazhab Aqal pe depend karta hai. Agar mazhab ho ya na hoo pir bi insan mai sirf mazhab ki kami hoti hai to ossko samjhaya bi ja sakta hia lekin agar Aqal na hoo to insan ko kesse samjhaya ja sake wo to esa hai jesse "Beens Ke Age Been Bajana"
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:3rd Feb 2012, 10:48pm
 

Aqal

  • aqal kia hai?

ANS Aqal woh Sulahiyat hay woh Quality hay woh sense hay jissy insan kisi be bat ko , Amal ko , Judge kurny ki sulahiyat rukhta hay yeh Insan ki Bonyadi Quality hay , Aqal or shahor Allah nay Insan ko Ataa keya tub he Insan Insan hay ku kay esmain Aqal hay Shahoor hay.

  • kia aqal/samajh/zehan/dimagh (brain) ye sab aik hee cheez k mukhtalif naam hain?

Ans: Ji yeh sub alag alag chezian hen, Aqal ki defination oper kur de ghi hay, abi Sumaj or cehez hay , jesy wisdom and unerstanding alag alag words hen esi tura aqal or sumaj be alag alag words hen or alag meanings be hen, Dumagh or Brain Ek he chez kay du Languages meah name hen. Brain Bot sari Sense , Hissso ko systems ko , feelings ko , functions ko controle kurny wala Orgine hay,

  • kia Allah ki taraf se dunia mai har insan ko aqal aik barabar milti hai?

Ans:Allah nay Insan ko Kamil bunaya hay, so ba Hasiyat Insan sub insan brabar hen, lakin Aqal or Shahoor du alag alag chezain hen mery khayal say, Allah nay insan ko Healthy bunaya osy Dumagh , brain ataa keya abi Osy active or effective bunay kay leyeh Elm ka Husool durkaar hay , Jo insan ki aqal pay Shahoor kay dureechy open kurta hay , ess leyeh Elm ki bonyaad pur aqal kay Durjay alag alag hen so sub insan Elm ki bonyad pur ek say nahi hen, aqal tu hur insan ko ataa ki ghi lakin Elm hur insan ko ataa nahi keya ghiya esy hasil kurna purta hay,

  • kia aqal ko kisi tareeqe se barhaya ja sakta hai? agar aqal ko barhaya ja sakta hai tou aqal ko barhane ka method kia hai?

Ans: Elm hasil kurin





H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 186  Post: 6476  Age:  35  
Posted on:3rd Feb 2012, 10:58pm
 

Aqal or Hudayit alag alag chezain hen

Jub Muzhab ki roh say dakhain gay tu hum aqal ko Hudait or Islam kay pamany meah rukh kur sochain gay , Hadait pur hony ka mutalb yeh hay kay aya woh Insan Allah ko Sahi mahno meah pachanta hay kay nahi , Allah nay Jo Zabta Hayaat Islam ki sorat meah Apny prophets kay zureyeh zumeen pur behja, Abi world meah Islam he valid Deen muzhab mojood hay so jo Islam ko Qubol kur kay essy follow kry gah osy hum kain gay yeh Hudait pur hay, seedy rasta pur hay,
1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013