Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Sexually Transmitted Diseases
Sexually Transmitted Diseases In Urdu And Roman Hindi
Leucorrhoea
Leucorrhoea | Causes and Treatment
Rheumatic Fever | Ganthaey Bukhar
Rheumatic Fever | Ganthaey Bukhar
Mastitis
Mastitis | Clinical Features | Treatment
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Discussion on Peer E Kamil (Original Topic)

Religion and Culture
 
 
 
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:23rd Jan 2009, 10:52pm
 

Discussion on Peer E Kamil (Original Topic)

Bohat time se Peer E kamil pe discussion ka socha jaraha hae lekin yeh muamla iltawa ka shikar raha hae main chahti hoon k na sirf Peer E Kamil balke aur bhi urdu adab k achay novels pe yahan discuss kiya jaye to sab se pehlay aghaz Peer E kamil se hi karte hain umeed hae is novel k bohat se points pe sair hasil behas se hum sab mustafeed hongay.

Sab se pehlay is k neme se start karte hain k Peer e kamil ka matlib kiya hae?

Meray haathon se aur  Honton Se Khushbu Jati Nahi

K Maine Isme Mohammad(S.A.W) Ko Likha Bohat Aur Chooma Bohat.

us k baad mazeed discuss karain gay inshaAllah

is novel ka markazi kirdar aik qadiyani larrki hae lekin yahan koshish yehi hae k kisi ki bhi dilazari k baghair discussion ho plz koi bhi isay zati tor pe na le . balke sab achay tareeqa se munasib discussion karain. Allah pak hum sab ko apnay Nabi Pak (S.A.W) ki mohabbat atta farmaye(ameen)

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:23rd Jan 2009, 11:05pm
 

nice topic

bahooooooot khoob acha silsila hai..... magar meri naaqis roy maiN sab say pahlay aap ko muntakhab book ki basic info deni chahiyeh jaisay...

1. kitaab k naam k saath mosannif ka naam

2. mosannif ka brief intro

3. kitab ka brief intro

4. kitaab kaa naashir, milnay ka pataa, tadaad safhaat, qeemat

5. agar book net par available ho to oska link ya link-hint

pahlay aap above form-fill karaiN... phir hum bhi kuch arz karengay lol.... I love to read n review booooks....... lekin yeh book nahi paRh sakaa abhi tak

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  38  
Posted on:23rd Jan 2009, 11:41pm
 

Maryam

Umera Ahmed ka ye novel main ne read kiya hae , Peer-e-Kamil se murad Hazrat Muhammad (PBUH) hain ,unhi ki munasbit se is novel ka name rakha gaya hae, Allah Ta'ala ne Hazrat Muhammad (PBUH) ko sari kainat k liye haqeeqi rahnuma bana k bejha aor aap ki zaat he aise hain jo insan ko muakammal rahnumayee faraham karti hae isi liye aap (PBUH) ko peer kamil kaha gaya hae, is novel ka bunyadi kidar eik aisi larrki hae jo qadiyani family se taulaq rakhti hae aor Islam qabool karti hae, is main us ko kin mussebton ka samna karna parrta hae, kaise kaise logon se wasta parrta hae is pe aage chal k baat karte hain.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:24th Jan 2009, 12:00am
 

Thnx Ch Babar

novel ka ta'aruff karwaanay ka shukaryaa... kash k maiN nay bhi yeh novel paRha hota to kuch arz kartaa... waisay novel ka markazi khayaal to naam say hi zaahir hai aur bahoot khoob hai... waisay kissi novel chand bunyaadi khoobiyaaN hoti hain... jinhouN nay novel paRhee ho, woh in par apnay tassuraat pesh karsaktay hain... jaisay

1. novel ki kahaani ka taanaa baanaa etnaa dilchasp ho k har ghaRi yeh fikar rahay k aagay kia hoga?

2. markazi khayaal sabaq aamoz, easily accessable by readers aur qaabilay taqleed ho

3. tarzay tahreer dilchasp, rawaaN, aur attractive ho

4. novel kay jumlah kirdaar strong houN... yaani apni apni jagah har character (khaah bad houN yaa achchay)... etnay strong aur powerfull houN k society maiN chaltay phirtay nazar aayaiN... yani kirdaar tasawwarti nah houN

koi bataa.ay gaa k iss novel maiN above khoobiyaaN kahaaN tak haiN... aur mosannifah k deger novel kaun kaun say haiN... kuch intro mosannif k baray maiN...

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  38  
Posted on:24th Jan 2009, 12:12am
 

myrizvi bhai

aap ne jo 3/4 points uthaye hain ye novel in sab pe poora utreta hae, aap ko is main jitnay bhi kirdar nazar aayen gaye woh aap hamari society main asani se dkah saktay hain ya un se aap ki mulaqat bhi hoti ho gi. ye alag baat hae k novels, darama, movies main kabhi kabhi bicharrnay k baad milap is tarah karaya jata hae jo k real life main shayed possible na ho.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:24th Jan 2009, 12:25am
 

myrizvi bhai

Rizvi bhai aap ne bohat ache points diye topic start karne k liye. sab se pehlay to yeh k peer_e_Kamil Umera ahmed ki lazawal tasaneef mein se aik hae. aap hallagulla se in k electronic pages avail kar sakte hain.  babar bhai ne is ka brief introduction bohat acha diya hae.

Babar bhai umeed hae aap mazeed bhi informative discussion mein participate karain gay:)

System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 40  Post: 2244  Age:  31  
Posted on:24th Jan 2009, 1:17am
 

peer e kamil

i have not read this book ..  But i can say some thing about the topic  apne khyal se.. ager ijazat ho to..   laikin ager main kuch kahon ga to yeah post phir is book se related nahe ho gi..   I will might wait and see what people say who read the book...  and jumpin later.. 

 

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:24th Jan 2009, 1:25am
 

system bhai

abhi yahan sirf topic hi discuss horaha hae plz aap bhi zaroor izhar-e-khayal karain kyun k mera khayal hae k insaan jo bhi read kare sab se pehlay to us ka mafhoom samjhayk hum jo read karne ja rahe hain woh hum pe kis tarah se apna tassur qaim karega. aur Umera k novels k bare mein main yeh kehna chahongi k un ka  topic aik lafz mein itni wusat rakhta hae k reader ko us ki depth mein jakar really enjoy karta hae.

 

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:24th Jan 2009, 2:02am
 

thanx maryam

I've downloaded the novel on my desk top........ insha Allah paRhnay k baad izhaaray khayaal karouNgaa.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:24th Jan 2009, 2:16am
 

myrizvi bhai

ji bohat shukriya .  babar bhai ,system bhai aur aap k is topic ko discuss karne ka mujhay yeh faieda hoga k jin points ko main nahi samajh saki ya us tarah nahi samajh saki jis tarah samajhna chahiye tha to aap logon ki discussion se mustafeed hongi aur mera khayal hae k jo log kitaab dost hon woh kabhi tanha nahi rehtay:)
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:24th Jan 2009, 2:43am
 

Peer-e-Kamil

Kitab ka naam: Peer-e-kamil

Musanifa ka naam : Umera Ahmed

Brief Introdution Of Umera

 

Umera Ahmed New generation ki bohat famous writer hain inhon ne bohat kam waqt mein bohat acha likha in k novels pe dramas bhi banayegaye hain. Umera convant mein as a teacher Job karti hain practical life abhi start nahi ki. In ki deegar kutab mein Hasil,Lahasil,Darbaredil ,Imaan,umeedaur mohabbat , zaat-e-shehar, Husna aur Husan Aara

Aisa bhi hota hae,Mann o salwa,Amar bail, Thorra sa asmaan aur Peer-e-Kamil jis pe discussion horahi hae aisi bookshain jo maine read ki hainis k ilawa bhi bohat si tasaneef hain.

Introdhuction about book

Peer-e-Kamil Nabi Pak (S.A.W) ki ataat aur Mohabbat ka shahkar hae

Peer-e-Kamil Nabi Pak (S.A.W) ki ataat aur Mohabbat ka shahkar hae Umera apne aik novel mein likhti hain

 “ Mohabbat aik aisa Andhera jungle hae jahan se nikal kar roshni mein aa bhi jao to aankhain kuch dekhne K qabil nahi rehtin”

Lekin Nabi Pak(S.A.W) Ki Mohabbat misle Mishqat hae jo insaan ko kabhi andheray jungle mein bhi nahi bhatakne deti balke us k gird roshni ka aik aisa haala qaim kar deti hae jo bhatke huon ko bhi un ki manzil tak pohncha deta hae,

Abb yeh insaan k apne akhtiyar mein hae k who duniya ki asaishat k badle akhrit ki zillat amet,ta hae ya phir Akhirat ko tarjih dekar duniya aur akhirat donon mein buland maqam pata hae.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:24th Jan 2009, 3:28am
 

kitaab dost

bilkul sahi kahaa..... youN to maiN books bahoot tezi say paRhta houN... lekin iss book ki e.copy... aik saath 2/2 pages haiN... paRhnay maiN diqqat hoti hai... dua karaiN k poori paRh louN phir insha Allah kuch arz karouNga... tab tak deger member izhaaray khayaal karaiN...
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  29  
Posted on:6th Feb 2009, 1:32am
 

Peer-e-Kamal

Mera kheyal hai hum logoon ne 2 pages bharr diey hain lekin abhi koi discussion shuru nahi ho saki siwaaey Umera Ahmed aur Introduction ke. Introduction b complete nahin hai. Main b Apni koshish krta hoon introduction ki. Uske baud hum novel ko different aspects se discuss karein ge..

Novel basically 2 characters ke gird ghoomta hai.

Aik Imama Hashim name ki Qadiyani larki jo k aik ameer kabeer aur asr-o-rasookh waaley baap ki beti hai. Uske Qabool-e-Islam aur iske baud pesh aaney wali mushkalaat ke mutallaq hai.

Doosra Character Salaar Sikandar jo ke 150+ ka IQ rakhhne wala aik extra ordinary larka hai aur Imama ka neighbour aur uske bhai ka dost hai magar Muslim hone ke bawjood aik bht biggra hua ameer zada hai.   

Halaat ke sitam ka shikaar ho ke Imama ko Salaar se telephone par khufia nikkah krna parrta hai jo k aik samjhota hota hai aur jiski reasons novel parrh ke hi pata chalein gi. Woh dono aik doosre se shadeed nafrat krte hain.

Nikkah ke baud dono aik doosre ko dekhna nahin chaahte aur Salaar Imama ko Lahore aik sarrak par uta r ke dobara apni zindagi main wapis chala jata hai.

Umera ne doosre hissay main unn 8 years ko cover kia hai jo Imama aur Sikandar ke nikkah ke baud guzarte hain. Sikandar apni studies ke liey baahir chala jata hai aur Imama b apni life main bzy ho jati hai. Uss doran kia kia haatlat pesh aate hain woh tou novel parrh ke hi pata chale ga. Mukhtasaran yeh ke Salaar aur Imama ki life 8 years main badal ke reh jaati hai. Sikandar achai ki taraf safar shuru kr deta hai aur 8 years ke baud Qudrat unhein dobara milaati hai.

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  29  
Posted on:6th Feb 2009, 1:32am
 

Umerah Ahmed

Ab main discuss karna chaahun ga Umera Ahmed ko jinhun ne Aik bht ache topic ko intehaai khoobsurti se cover kia hai.

Salaar ko pehle aik biggre bnde ke roop main qabl-e-nafrat shakhas bna ke pesh krna aur uske baud uske achhai ki taraf safar ka aaghaz aur acha insaan ban-ne ke process ko bht khoobsurti se qalamband kia hai. Ecstasy se le kar pain tak aur uske baud achhai ki taraf safar really parrhne se taalluq rakhta hai.

Jis tarah Umera ne human feelings aur emotions ko qalam ke zariey logoon tak pohanchaya hai woh really aik great job hai. Main ne Umeraah ke doosre kuch novels b parrhe hain magar yeh thread dekh ke Peer-e-kamal ko study kia aur I feel ke agar main yeh novel na parrhta tou shayed Urdu adab ke bht barrey shaahkar ko parrhne se mehroom reh jata. Thanks Maryam for telling about this novel..

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:6th Feb 2009, 1:54am
 

more discussion

bhimji very nice  participation:) yahan meray mind main 1 question tha k aap aur kisi bhi mazhab ko follow karain ya us main convert hojaien woh log aap ko fully sport karain gay. financialy bhi aur moral bhi . jaise agar koi aam se ghareeb Admi bhi kisi bhi aur mazhab ko own karta hae to woh kisi preshani ka shikar nahi hota balke youn keh lain k us k din phir jatay hain lekin islam woh wahid mazhab hae jo qurbani mangta hae jis main dakhil hotay hi insaan pe duniya walon ki taraf se sab darwaze band hojatay hain . chahay insaan kitna hi sound family se taluq na rakhta ho usay sab kuch qurban kar k islam main dakhil hona parrta hae kiya koi bataye ga k is Azmaish ka kiya maqsad hae?

is novel ka aik aur kirdar Dr. Ansar bhi hain jo bazahir bohat mazhabi rohjan rakhtay hain  aur Nabi Pak (S.A.W.W) se Mohabbat k dawedaar hain aur imama se shadi k khahishmand bhi lekin jab immama islam qabool kar k un ki help chahti hae to woh inkaar kar detay hain. aur baad main bhi shadi se is liye inkar karte hain k woh aisi larrki se shadi nahi karaingay jo apna ghar chorr k chali gai ho.

kiya islam k liye apna sab kuch Qurban karna itni buri baat hae k nabi Pak (S.A.W.W) se mohabbat k dawedar bhi unhain sahi na samjhain .

is novel ko read karne k baad aik baat jo meray mind main ayi woh yeh k yeh insaan hi hota hae jo apnay jaise doosre insanon ko zaleel o ruswa karta hae sirf Allah hi hae jo kabhi apnay banday ko ruswa nahi karta . usay jahannum k garrhay se bhi wapis le ata hae aur aise muaf karta hae jaise us ne kabhi koi gunnah kiya hi na ho. Allah pak hum sab ko bhi aise hi muaf farmaye(ameen)

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  29  
Posted on:6th Feb 2009, 2:03am
 

ok

Dr. Ansar ko iss main aik kamzor, kamal yaqeen na rakhne wala aur Dunia ko face na kr skne wala insaan dikhaya gya hai. Woh apni daarhi b mudwa deta hai, Duniya main gumm ho jata hai aur apne profession ko misuse kr ke kamai shuru kr deta hai. Aisa character iss novel main iss liey b zaroori tha ke hamnarey moaashrey main aksar aise loag paaey jaatey hain, shayed 90%. Iss character ka b novel ko perfect krne main role zaroor hai.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 103  Post: 5466  Age:  53  
Posted on:10th Feb 2009, 3:43am
 

Dr. Ansar

ka kirdaar hamari society ka aik janaa pahchana kirdaar hai... aisay log bah kasrat miltay haiN jo aam halaat maiN to islam ko follow kartay howay nazar aatay haiN lekin jahaaN kaheeN ooNch neech i mean k bohraani sooratay haal ka saamnaa ho to woh raahay faraar hojatay haiN...

maryam! aap ka yeh kahna bajaa hai k insaan hi doosray insaan ko roswaa karta hai..... asal main bold step oThanay k liyeh bhi aik bold character walaa insaan chhaiyeh... aap kissi common human say bold step ki tawaqqah nahi rakh saktay ... waisay society maiN aaj bhi aisay bold aur naik afraad ki kami naheeN..... jaisay kal hi mujhay maloom howaa k Mr. X nay apnay dost ki bewah say jiskay 2 bachchay bhi haiN, mahaz iss wajah say shadi karli k oskay marnay walay dost nay marnay say qabl oss say kaha thaa k meray baad meray biwi bachouN ka khayaal rakhnaa...... apnay ghar walouN ki shadeed mokhalfat k bawajood....... lekin iss qism k characters aaj ki society maiN kam kam hi haiN... afsos k maiN bah wajah masroofiat poora novel nahi paRh payaa... waisay general idea to ho hi gayaa hai... iss qadar khoobsoorat novel ko zeraya bahas laanay ka shukaryaa.

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  29  
Posted on:10th Feb 2009, 5:09am
 

yes

Agreed with Rizvi Bhai.
Dr. Ansar jese character hamarey moaashrey main aksar mil jaate hain chalte phirte bal keh shayed hamara culture hi iss tareeqay se develop hona shuru ho gya hai. Insaan sab se pehle apne aap ko rakh k sochta hai. Kisi k liey Qurbani dena tou door ki baat, koi kaam hi nahin aata aur apne fel k jawab main hum har qisam ki justifications b teyyar kr letay hain. Shayed anjaane main hum b Corporate Culture ka hissa bnte ja rahe hain aur insaaniyat se door hotay ja rahe hain..

sweet_mind Group: Members  Joined: 11th Feb, 2009  Topic: 0  Post: 1  Age:  27  
Posted on:11th Feb 2009, 1:50pm
 

hi

hi assalama alaikum to all dear friends

am a new user to this website.

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:12th Feb 2009, 2:27am
 

Rizvi bhai & bhimji.

Rizvi bhai & bhimji aap ka bohat shukriya aap ne yahan participate kiya aur bohat achay tareeqa se kuch baaton ko define kiya lekin mera sawal abhi bi baqi hae. agar aap is pe bhi roshni DalaiN to main aap ki mashkoor hongi.
1 2 3 4  >>
 
 
 
Gall Bladder | Pitta
Gall Bladder | Pitta
Stomach Problems And Treatment
Stomach Problems And Treatment
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
HIV And Aids Causes And Treatment
HIV And Aids Causes And Treatment In Urdu

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us