Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Four Talaq Given In Anger: What Islam Says?

Religion and Culture
 
 
 
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 49  Post: 3206  Age:  35  
Posted on:10th Dec 2011, 2:31am
 

ghussy main talaq

ghussy main 4 bar ki bajaye 20 bar b talaq talaq keh diya jaye to talaq nahi hoti , aur mazy ki baat yeh hay k Hanfi , Hambli , Maliki , Shafi'ee , Jafriya fiqah kisi main b nahi hoti pata nahi jo log yeh kehty hain k ghussy main sirf talaq talaq talaq kehny sy talaq ho jati hay wo konsi fiqah ko follow karty hain , yaa phir aysa hay k wo inn above fiqah main hi sy kisi aik ko follow karty hon gy laiken adam waqfiyat ki waja sy ya phir kam ilami ki waja sy unhain yeh maloom hi nahi k unn ki fiqah ki asal taleemaat kia hain bas jo "muhally k molvi" ny bata diya ussy hi deen samjh rahy hain ...khoob..!!!!

anyways agreed with bewaqoof
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:11th Dec 2011, 2:58am
 

Talaq koi aam cheez nahi hai

wehshi
Yahan per talaq per pehlay bhi kafi discussion ho chuki hai aur mein yeh dekh ker hairan ho gaya k aik hadith ko base bana ker kaha jata hai k Rasool Allah saww ne fermaya ghussa,nasha aur mazzaq ki halat mein talaq ho jati hai,aik hi nashist mein 3 baar kehnay se talaq ho jati hai...aur sab se ajeeb baat yeh hai k yeh sahih tirmizi ki hadith hai aur iss ki sanad bhi ghareeb hai lakin phir bhi aik ghareeb hadith ko apna aqeeda bana liya gaya...

Talaq koi aam cheez nahi hai...

Jaiz kaamon mein sab se ziada na-pasand agar koi amal Allah k nazdeeq hai to woh yehi talaq hi hai phir Allah aisay na-pasandeeda amal ko aisay mazzaq kiun banaye ga ??

Aur mazay ki baat yeh hai k talaq k masla per ziada hadithon k raavi janab ibn umar hain aur jab hazrat umar ko wafaat se pehlay kisi ne mashwara diya k apnay betay ko khalifah bana dein to unhon ne kaha jis ko talaq deni nahi aati woh khalifah kia banay ga aur yeh talaq ki ayat ibn umar hi ki mehrbanion ki wajah se nazil huin...

Quran talaq k masla per 2 gawahon ka hukam de raha hai lakin hanfi aqeeda to nasha,ghussa ya mazzaq mein aur aik hi nashist per 3 talaq baein ko jaiz qarar deta hai...

Aur wehshi sahab aap ne kabhi socha k talaq k masla per imam abu hanifa ka aqeeda Quran...shia,shaafi,maliki aur humbali se different kiun hai ??

Aap ne shayed kabhi tabqaat ibn saad perhi ho gi agar nahi perhi to zaroor perhiye ga jo k 2/3 century ka writer thay aur unhon ne uss waqt k loagon per kafi behas ki hai aur sahaba aur tabaeen per bhi behas ki hai...

imam abu hanifa k baray mein unhon ne likha hai k yeh sahib ul raye thay yeni qayyas kia kertay thay aur hadith mein zaeef thay...

Ab tabqaat ko perh ker phir aap sirf talaq k masla per bhi ghoar kijiye ga to aap ko ibn saad ki baat abu hanifa k baray mein 100% sahi lagay gi...

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 43  Post: 2327  Age:  47  
Posted on:11th Dec 2011, 4:25pm
 

talaq koi aam cheez nhn

yehi araz hai k talaq koi mazaaq nhn k jisay aisay khela jai

isi liyay yeh haq merd ko diya gaya k woh burdbar hai aur tamul wal ahai lekin jab merd hi itna kam zeraf ho jai k khel tamasha bana le is bat ka to kya ilaj

1 nishist main 3 talaq hojana bhi wesa hi qanoon tha jis waqt logon ne mazaq ban aliya tah talaq ko aur woh waqati qanoon tha

Mufti
wehshi
Aur janab yeh waqati qanoon kab wajood mein aaya aur kab woh qanoon fasid hua ??
tuba Ahmad Group: Members  Joined: 30th Jul, 2010  Topic: 23  Post: 165  Age:  27  
Posted on:4th Jan 2012, 3:07am
 

mufti shab se masvara

Assalamolikum

Fatwa aur mufti shab se phuch leya gya hai jis trha se talaq de gyi hai who talaq talaq nahi hai agar 3 month ke ander fir se talaq de jati hai tb b nahi qki ye 2sri talaq hai fir 3 month ke ander ki talaq, talaq hogi kafi mufti & mulana' s se phuch leya gya hai.

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:4th Jan 2012, 4:05am
 

Talaq and Quran

Tuba Ahmed
Shukar hai sister aap ne iss forum k fatwon per etibar nahi kiya werna aap ki life to berbaad ho hi jati agar yeh aap k sath waqiya hua tha :P

Meray khayal se talaq k masla per alag alag firqah ki baat hi nahi hai kiun k Allah ne Quran mein poori Surah iss masla per nazil ki hai jis mein saaf bataya gaya hai k her talaq k dermayan aik iddat hai...

Aur koi shaks beshaq 4 nahi 4000 dafa aik hi waqt mein talaq de uss ki talaq nahi hoti balkeh uss ko 1 hi mana jaye ga aur woh rajuh ker sakta hai...

pagal_1 Group: Members  Joined: 25th Jan, 2012  Topic: 0  Post: 4  Age:  26  
Posted on:26th Jan 2012, 3:15am
 

gusse main kaha main tumhe talaq deraha hon

tuba ahmad
dear main bhi isi masle ka shikar hon maine apni bevi ko gusse main kaha main tumhe talaq deraha hon talaq talaq talaq . muje ye ilam nahi tha k ye such main ho jati hai maine bus darane k lia aisa kaha tha mere wehm o guman main bhi nahi tha k aisa karne se such main ho jati hai meri bevi ko bhi ye ilam nahi tha hum kafi arsa sath hi reh raha tha or bad main muje patha chala k aisa karne se such main talaq ho jati hai maine sarch kia to koi hal na mila koi kehta hai ho gai koi kehta hai 3 talaq aik sath dene se aik hoti hai . agar ap ko hal mil gaya hai to plz meri helpo ki jia ga . ho sake to mujhe fhone kar k koi hal explana kar den xxxxx. mere pas to eska aik hi hal bacha hai



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 109  Post: 6174  Age:  53  
Posted on:26th Jan 2012, 3:48am
 

apkay pass talaq ka sirf 2 haq bacha hai

apkay pass kia hal bacha hai???

pagal_1
chouNkay bahoot sya ulemaa ka yeh bhi kahna hai k aik hi nashihst maiN jetni baar bhi talaaq di jaa.ay, aik talaaq hi count hogi...lehaza apki ik talaaq to hogayee...chouNkay aplog iss talaq k baad separate nahi howay aur saath saath hi rahay goya apnay talaqk baad rajoo karlia... lehaza ab apka aik saath rahna Theek hai.

magar ab apkay pass talaq ka sirf 2 haq bacha hai...agar apnay ayandah aisaa mazaaq /gussah kia to doosri talaaq ...aur iskay baad phir aisi harkat ki to teesri talaaq bhi hojayegi...aur teen talaaq k baad apki biwi ap k liyeh hamesha haraam hojayegi,
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:26th Jan 2012, 4:14am
 

1 ya 2 talaq k baad rajju ker liya jaye to phir woh talaqein valid nahi rehtein

myrizvi
Meray bhai yeh aap ne kahan se perha hai k agar rajju ker bhi liya jaye to tab bhi talaq ki talwar serr per latakti rehti hai ??

Yeh talaq hai meray bhai tariq aziz show nahi k jo ghalti hui woh poray show mein sath hi rahay gi,meray bhai jab 1 ya 2 talaq k baad rajju ker liya jaye to phir woh talaqein valid nahi rehtein kiun k mian biwi ne rajju ker liya hai...

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 109  Post: 6174  Age:  53  
Posted on:26th Jan 2012, 6:09am
 

Talaq aur aqliati maslak

Mufti Bhai
ap sahih kahtay hogay, fiqah jaafaryah maiN shayad aisaa hi hota hoga, iss baray maiN meri info nahi hai... maiN nay jo likha hai woh kissi aqliati fiqah k motabiq nahi balkay ajmaa.e.ummat yaani muslim ummat ki aksariyat k motabiq hai

ab agar pagal ka talluq kissi aqliati maslak say hai to woh apnay maslak k motaabiq amal karne maiN azaad hai...lekin agar woh ajmaa e ummat ki sanad ko maanta hai to woh shayad apki baat ko nah maanay.

thanx for ur reply
pagal_1 Group: Members  Joined: 25th Jan, 2012  Topic: 0  Post: 4  Age:  26  
Posted on:26th Jan 2012, 9:40am
 

Talaq

myrizwi and all
agar aisa hai to mera masla hal hai . magar bohat se mufti keh rahe hen k 3 bar aik sath kehne se talaq ho jati hai . aik bar bhale ho par 3 bar hoi k nahi . dobara to main kisi ko samjhate hoa bhi talaq ka nam nahi longa. or agar aisa ho gaya hai to phir halala k siwa koi hal nahi . par mujhe omed hai k ye aik hi hoi hogi . itna bada masla aisa nazuk nahi ho sakta
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:26th Jan 2012, 10:42am
 

Talaq in Anger

pagal_1
itna bada masla aisa nazuk

bilkul yehi baat mein samjhana chahta hon k yeh koi bachon ka khel nahi hai k ghussa mein ya nasha mein talaq de di ya aik sath 3 talaqein de dein to talaq ho jaye gi...

Lakin yahan per wohi akliati/aksariati ki baat aa jati hai :P

Meray bhai aap ki talaq nahi hui agar aik hui bhi thi to aap ne rajju ker liya to masla khatam ho gaya...

Aap khua makha iss masla mein ulajh ker apni life tabah na karein meray bhai aur sukoon se life guzarein...

myrizvi
Janab aap batana pasand karein ge k aap ka woh kon sa aksariati firqah hai jis per aap hamesha fakhar kertay hain ??

Kiun k ahl sunnah k bohat se firqah talaq bain ko nahi mantay balkeh issay ghalat mantay hain,ab aap bataein k aap kon se aksariati firqa se taluq rakhtay hain ??

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4192  Age:  37  
Posted on:26th Jan 2012, 3:11pm
 

Talaq: myrizvi saheb se reference ki darkhast hai

meri maloomat ke mutabiq Mufti sahi keh rahe hain.

Pehli talaq ke baad rajoo nahi kia tu woh pehli hogi, aur rajoo se pehle Talaq di tu woh doosri Talaq kehlaye gi.

Lekin agar pehli Talaq ke baad rajoo ker lia tu pehli talaq batil ho jaaye gi. rajoo ke baad agar phir talaq dii tu woh doosri nahi balkeh pehli talaq kehlaye gi.

myrizvi saheb se darkhast hai keh onho ne jo kuch kaha os ki reference bhi yaha post ker dain tu forum ke reader ko faisla kerne mai aasani hogi keh sahi kya hai aur ghalat kya?
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4625  Age:  36  
Posted on:26th Jan 2012, 3:44pm
 

agreed

to Mufti...finaly my rizvi ne bhi wahi bat ki ...
pagal_1 Group: Members  Joined: 25th Jan, 2012  Topic: 0  Post: 4  Age:  26  
Posted on:26th Jan 2012, 9:22pm
 

3 ya 1

yar tum lod sirf is pe ghor karo k aik sath talaq talaq talaq kehne se ten 3 hoi ya aik 1.

thanx for all

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 109  Post: 6174  Age:  53  
Posted on:26th Jan 2012, 10:22pm
 

pagal ka maslah

agar apka masla real hai to yeh jaan laiN k iss baray maiN ulmaa.e.ahlay sunnat ki 2 roy hai.

1. aik group kahta hai k aik nashisht maiN 3 talaaq denay say 3 talaaq valid hojati hai. iskay baad halaalah kiyeh beghair issi biwi k saath dobarah nahi raha jasakta

2. doosra group kahta hai k aik nashisht maiN di gayee 3 yaa teen say zayad talaaq aik hi shomaar hogi. aur aik talaaq k baad rajoo kia jasakta hai (iddat period yani 3 menses cycle k nader bila new nikah aur iskay baad with new nikah n new mahar)... magar iss rajoo k baad aik talaq ka haq khatam hojayega aur ab sirf 2 talaaq ka haq baqi rahega

yeh dounouN maktabah e fikar islam maiN rozay awwal say maujood haiN...tafseelaat k liyeh ahaadees ki books aur seeratay rasoo saw o sahabah dekhiyeh. ap jiss group ki bata manna chaahaiN, oski baat maan saktay haiN... it's upto you

wazah rahay k fiqah jafaryaa samait deger aqliati masaalak maiN nikaah, talaaq samait bahoot say maamlaat sawaday azam say jodaa haiN...agar apka talluq in firqouN /masaalak say hai to phir inhaiN hi follow karaiN.

iss topic par bahas mokammal hochuki hai...ab sirf repeatation horahi hai, jismaiN mujhay koi khas dilchaspi nahi...
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:27th Jan 2012, 2:23am
 

pagal_1

yar tum lod sirf is pe ghor karo k aik sath talaq talaq talaq kehne se ten 3 hoi ya aik 1. 
thanx for all

-----------------------------

Meray bhai aap 3 talqaein aik waqt mein dein ya 300 dein woh aik hi talaq tasawar ho gi kiun k her talaq k baad aik iddat hoti hai aur uss iddat se pehlay aap dosri talaq nahi de saktay aur agar iss dermayan aap ne rajju ker liya to woh sab talaqein 1 ya 2 khatam ho jaein gi aur agar rajju k baad phir aap talaq detay hain to woh pehli talaq tasawaur ho gi...

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:27th Jan 2012, 2:32am
 

myrizvi

magar ab apkay pass talaq ka sirf 2 haq bacha hai...agar apnay ayandah aisaa mazaaq /gussah kia to doosri talaaq 

------------------------

Chalein yeh to shukar hai k aap ne itna to maan liya k aik nashist mein 3 talaqein denay se 1 hi talaq hoti hai werna hamari iss baat per kafi behas ho chuki hai aap se aur aap pehlay iss baat ka inkar kertay rahay thay...

Uss k baad aap ne fermaya k mazzaq/ghussa mein talaq di to woh talaq count ki jaye gi...

Yeh hadith sahih tirmizi mein vol 1 mein hai aur abu huraira se riwayat hai...Aur issi hadith k neechay likha hua hai k yeh hadith hassan ghareeb hai...

Aur jahan tak mera ilm hai ghareeb hadith per aap ahl sunnah yaqeen nahi kertay...

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:27th Jan 2012, 4:01am
 

alirajput

Wow aap bhi aa gaye maidan mein...

Chalein janab aap myrizvi sahab ko defend kernay aa gaye yeh achi baat hai...

Sab se pehlay aap bataein ge k aap ka kon sa woh aksariati firqah hai jis per aap ko itna fakhar hai ?? myrizvi ne to nahi bataya chalein aap hi bata dein...

Waisay Quran ne aksariat ko ghalat hi kaha hai...

Dear pagal, iss forum par mujhe myrizvi ke emaan par koi Shakh nahiN, albatta mere nasdeeq Confusions ko barhana aur Confusions members ke beech create karna, yahaan ke naami mufti ka kaam rahaa haiN, behaiz ke zariye.

Janab pehli baat to yeh hai k confussion to aap k myrizvi create ker rahay thay agar aap unn ki pehlay topics check karein to woh to iss baat ko mantay hi nahi thay k aik nashist mein 3 talaqon ko 1 talaq tasawur kiya jaye ga magar ab woh iss baat ka iqrar ker chukay hain k 3 talaqon ko 1 hi mana jaye ga..

magar ab apkay pass talaq ka sirf 2 haq bacha hai...agar apnay ayandah aisaa mazaaq /gussah kia to doosri talaaq ..

Aap ne khud perh liya jo myrizvi sahab ne kaha ??

Ab yeh to meri baat sahi sabit ho gaye,ab masla hai k 1 ya 2 talaq k baad agar rajju ker liya jaye to kiya talaqon ki talwar serr per latakti rahay gi ya nahi ??

Ab yeh aap ne sabit kerna hai k waqai talaq ki talwar serr per latakti rahay gi...

Sirf aap ki bewaqoofana baaton se mufti jhoota sabit nahi ho ga balkeh proof lana ho ga alirajput sahab...

lekin ye shayd wo nahiN samjha saky ke ye unka manaa haiN, ye aur iss baat par Islam kuch aur kehta haiN. Mufti ka maslak, unka Aqeeda, SHIA haiN, leehaza unki soch bhi wesi haiN, aur unki bataiN bhi wesi hi haiN. Shia=Followers of Ali (r.a.) and Muslims= Those that submit to Allah alone, without associating any partners, which is SHIRK. Issliye yahan Difference of opinion mojood haiN

Chalein mein to shia hon lakin kiya @Bewaqoof aur @sunehri76 bhi aap ki nazar mein shia hain ??

Aap ka asal masla aur kuch nahi balkeh sirf aur sirf bughz hai :P jo aap ne yahan wazeh ker diya hai kher jab insan k paas koi jawab na ho to woh sirf aisay hi alfaz keh ker dil ki berhaas nikalta hai...

Aur aap ko shayed ilm nahi hai k yeh 3 talaqon wali talaq baain hazrat umer ki bohat se ijaadon mein se aik ijaad hai agar aap ko yaqeen na aaye to aap beshaq youtube per ja ker ahl sunnah k scholars k lectures sun saktay hain iss masla per...

lekin, I agree to disagree with id Mufti.

Janab jab aap meri baat se agree kertay thay tab bhi meri hasiat per kuch farq nahi perta tha aur ab agar aap disagree ker rahay hain to tab bhi mujh per koi farq nahi paray ga kiun k meray nazdeeq aap ki kuch hasiat nahi hai...

Meri nazar mein aap ki hasiat aik aisay darbari clown ki hai jis ka kaam sirf badshah ki her baat per taalian bajana hota hai khua baat sahi ho ya ghalat...iss liye aap apna kaam poori mehnat aur emaandari se kertay rahein mujhay koi etiraz nahi hai...

talaaq samait bahoot say maamlaat sawaday azam say jodaa haiN

Ab yeh sawaday azam kon hai ??

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:27th Jan 2012, 4:46am
 

pagal_1

Meray bhai aap ko kisi se pochnay ki zaroorat nahi hai kiun k Allah ne Quran mein iss baray mein saaf bataya hai...

Surah Talaq 1. O Prophet! When ye do divorce women, divorce them at their prescribed periods, and count (accurately), their prescribed periods: And fear Allah your Lord: and turn them not out of their houses, nor shall they (themselves) leave, except in case they are guilty of some open lewdness, those are limits set by Allah. and any who transgresses the limits of Allah, does verily wrong his (own) soul: thou knowest not if perchance Allah will bring about thereafter some new situation.

Yahan Allah ne clear ker diya hai k her talaq k baad iddat hai,iss liye yeh talaq baain sirf biddat hai aur Quran aur sunnah k khilaf hai...

Ab mein aap ko sahih muslim ki hadith batata hoon...

Sahih Muslim vol 4 Talaq K Masail Hadith no. 3673 Baab: 3 Talaqon Ka Bayaan

Hazrat Ibn Abbas ne kaha k talaq Rasool Allah saww k zamana mein aur abu bakar k zamana e khilafat mein aur umer k zamana khilaft mein bhi 2 bars tak aisa amar tha k jab koi 1 baargi 3 talaq deta tha to woh 1 hi talaq shumar ki jati thi,phir hazrat umer ne kaha k loagon ne jaldi kerna shuru ki uss mein jis mein unn ko mohlat mili thi so hum agar uss ko jari ker dein to munasib hai phir unhon ne jarri ker diya yeni hukam de diya k jo 1 baargi 3 talaq de to woh 3 waqeh hon gi... 

Ab aap per depend kerta hai k aap Rasool Allah saww k hukam ko mantay hain ya umer k hukam ko...

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4192  Age:  37  
Posted on:27th Jan 2012, 4:27pm
 

Talaq aur Sahaba Karam (RA) ka reference

re: "Ab aap per depend kerta hai k aap Rasool Allah saww k hukam ko mantay hain ya umer k hukam ko..."

Quran aur Hadeth ko har koi nahi samajh sakta yahi wajah hai keh different andaz se samajhne ki wajah se beshumar firqa aur maslak wajood mai aaya hai. lekin iss baat se inkaar nahi kya jaa sakta keh aam logo ke muqablay mai Sahaba karam ziadah behtar tareeqa se Quran aur Hadeth ko samajhtay hai.

Lehaza Hazrat Umar (RA) ki baato ko samajhna chahiye na ke on ka muqabla Hazoor (PBUH) se ker ke on ki shakhsiat ko maskh kerne ki koshish ki jaaye.

ham (members) achchi tarah jaantay hai keh iss forum per kon kon se members baato baato main Sahaba Karam (RA) ki insult kerna chahtay hai.

lehaza tamam members se darkhast hai keh woh sirf aur sirf apne maslak ke mutabiq jawab dain. kisi aise maslak/firqa ya Sahaba (RA) ke reference se jawab na dain jin ko nahi maantay hai.

ham chukeh achchi tarah jaantay hai keh Shia hazraat Hazrat Umar (RA) ko khalifa nahi maantay lehaza Shia Hazraat se darkhast hai keh woh Hazrat Umar (RA) ke reference se yaha koi baat na karain.

re: "umer k hukam"

ham intehayee afsos ke saath kehtay hai keh Mufti saheb ka yeh style hamai bilkul pasand nahi aaya. Hazrat Umar (RA) ko sirf umar likhney se hamari dil aazari huyee hai.
1 2 3  >>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012