Warning: mysql_fetch_array(): supplied argument is not a valid MySQL result resource in /home/noor/public_html/forum/left_general.php on line 63
Four Talaq Given In Anger: What Islam Says?
 

Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Four Talaq Given In Anger: What Islam Says?

Religion and Culture
 
 
 
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4625  Age:  36  
Posted on:27th Jan 2012, 5:23pm
 

Bewaqoof

ham intehayee afsos ke saath kehtay hai keh Mufti saheb ka yeh style hamai bilkul pasand nahi aaya. Hazrat Umar (RA) ko sirf umar likhney se hamari dil aazari huyee hai.

agreed...par is ka kya hall hai ?? at least yahan forum ke members ko ek dusre ki mazhabi shakhsiyat ko izzat se mukhatib karna chahye,chahe wo unhe mante ho ya na mante hon...is se kisi ki dil azari nahi hogi...
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:28th Jan 2012, 5:07am
 

Bewaqoof & sunehri76

Mujhay aap ki baat shayed uss waqt neutral lagti jab aap dosron ki bhi aisi hi ghaltian note kertay....

MashAllah Mufit sahab Qanoon to aap ek rakhen. jub Hazrat ALi 

Yeh Fiqah Jafariya k topic ki aik post se mein ne sentence paste kiya hai batman1 ka...yahan per unhon ne sirf Hazrat Ali likha hai...

*Jahan tak apki dusri baat hy to mufti sahab HAzrat Umar RA khalifa they

Ussi post mein unhon ne hazrat umer k sath r.a likha hai jab k Hazrat Ali a.s k sath r.a likhna pasand nahi kiya...

aapny ek jga kaha k mawiya ra ko haq nahi 

Aur phir ussi post mein unhon ne mawiya k sath r.a likha magar Hazrat Ali a.s k sath likhna pasand nahi kiya...

Kiya aap ko yahan tauheen nazar nahi aaye ??

Ya aap ki nazar mein hazrat umer aur mawiya ka Hazrat Ali a.s se ziada maqaam hai ??

WOH AZEEM HUSTY ABU BAKAR RA KI THI

Yeh wehshi sahab ki post hai hadith confirmation ki unhon ne bhi hazrat nahi likha...aap iss liye chup rahay k woh sunni hain ??

Husain RA ne jab Yazeeds RhA ki bait kernay se inkar kiya

Ussi post mein unhon ne yazeed jaisay lanati ko r.a likha magar aap ki ghairat na jaagi lakin jaagi to sirf uss waqt jab mein ne sirf hazrat nahi likha aur aap foran uchal paray aur tauheen ho gaye...

Jab 100 baar mein ne 123 k sath hazrat likha tab to aap ne kabhi yeh nahi kaha k mufti tum ne acha kaam kiya...kiya aap ka kaam sirf negative cheezein hi nikalna hota hai ??

jahan tak bat hai Abu Talib k islam ki to yeh bhi aik historical bat hai k unhon ne islam qabool kiya tha ya nhn

Tabarrah k topic se yeh wehshi sahab ki post hai, Hazrat Abu Talib a.s ahl sunnah aur shia mein na sirf musalman thay balkeh bohat qabil izzat hain lakin inhon ne koi izzat nahi dikhaye magar aap ki yahan bhi aankh na khuli...pooch sakta hoon kiun ??

is terah to Abdul Mutlab jinhon ne 7 saal tak Nabi SAW ki perwarish ki

Hazrat Abdul Mutalib ki to shayed aap ka firqah bhi respect kerta hai lakin wehshi sahab ne koi respect nahi show ki lakin aap ki yahan bhi aankh na khuli...

Maray NABI SAW kee BEWI AISHA SADEEQA Jiss

Ussi topic per goodman ki yeh post hai jis mein unhon ne hazrat ayesha k sath na hi hazrat lagaya aur na hi r.a lagaya magar aap chup rahay kiun k woh sunni tha...

Aur mein aap se pochta hoon k wehshi sahab ki sab posts dekh lein aur mujhay bataein k Hazrat Ali a.s k naam k sath unhon ne kitni baar hazrat likha ??

Shia=Followers of Ali (r.a.) and Muslims= Those that submit to Allah alone, without associating any partners, which is SHIRK

Issi topic per alirajput ne yeh post ki thi to hamaray aqeeda ko shirk kaha lakin kisi ne ussay nahi kaha k tum ghalat keh rahay ho balkeh uss waqt to bewaqoof sahab na aap ko ghairat aaye aur na hi aap ki aankh khuli aur na hi sunehri76 sister ko bura laga lakin koi shia umer k sath hazrat na lagaye to bohat baro tauheen ho jati hai aap loagon ki...

Meray khayal se itnay ref. kafi hain aap dono k apnay gareban mein jhanknay k liye...

Bewaqoof sahab mein iss forum ka member hoon,ghulam nahi k jis ka dil chahye mujh per hukam chalaye...mein jo sahi samajhta hoon woh kerta hoon aap ko yeh bhi shukar kerna chahiye k mein inn 3 k naamon k sath hazrat likh deta hon agar aik dafa nahi likha to aap uchalnay lag gaye...next time mujhay aisay orders mat dijiye ga aur agar etiraz kerna bhi to pehlay aap yeh dekh lena k aap k dosray bhaion ne to aisi ghaltian nahi kein...

Tum loag yazeed ko r.a kehtay ho jab k ahl sunnah aur shia dono uss per lanat kertay hain phir aap ko kisi k aqeeda ka ehteraam kiun nahi hai ??

Kiya sirf ehteraam hum ne hi kerna hai..aap loag kisi qanoon k under nahi atay ??

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4192  Age:  37  
Posted on:28th Jan 2012, 6:33am
 

Talaq: Topic divert na karain

Mufti: agar koi doosra ghalti kerta hai tu iss ka yeh matlab nahi keh ham bhi ghalti karain. baharhal Shia Sunni conflict kisi aur thread mai discuss karain. Iss thread mai sirf aur sirf Talaq ke topic per baat karain. behtar hai keh aap apne maslak ke mutabiq baat karain. Hazrat Umar RA ke reference se aap baat na karain. agar on ke reference se baat kerni ho tu aisa andaz ikhtiar na karain jis se doosro ki dil aazari ho.

iss thread mai ab sirf Talaq ki baat karain. agar shia sunni conflict per baat kerni ho tu phir yaha se mera matter copy ker ke kisi relevant thread mai paste karain aur phir waha jawab dain. yaha per sirf aur sirf Talaq ke topic per likhain.

re: "Mujhay aap ki baat shayed uss waqt neutral lagti jab aap dosron ki bhi aisi hi ghaltian note kertay...."

mai generally mazhabi conflict ke threads read nahi kerta iss liye mujhe nahi maloom keh waha kya ho raha hai. agar waha ghalat ho raha hai tu woh bhi ghalat hi kehlaye ga. mojooda thread Talaq ka hai, iss liye mai ise follow ker raha hoo.

re: "uss waqt neutral lagti "

janab mai neutral nahi hoo, balkeh mai aik Sunni Muslim hoo. matlab yeh keh mai non Sunni Muslim se agree nahi kerta. aur non Sunni Muslim mujh se agree nahi kertay. lehaza yaha per koi bhi neutral nahi hai.




Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 708  Age:  38  
Posted on:28th Jan 2012, 6:40am
 

Bewaqoof

Yeh mashwara pehlay aap khud ko detay to ziada acha tha kiun k aap ne topic divert kernay ki koshish ki hai aur mein reply kiya hai...

Agar ab aap meri post ka reply kerna chahtay hain to meri post copy ker k kisi aur topic per ja ker reply ker dein yahan topic divert kernay ki koshish na karein...

Aur shia sunni ki baat mein ne nahi start ki yeh baat aap ki post mein thi...

Aur mein ne aap ko pehlay bhi kaha k mujhay orders denay ki zaroorat nahi hai mujhay jis book se ref. milay ga jo meri baat k mutabiq ho ga woh mein yahan doon ga...

Agar aap ko inn books k ref. achay nahi lagtay to phir aap ko yehi mashwara de sakta hoon k aap meri posts ko mat perha karein...

Mein ne to talaq k topic per baat kerni thi woh ker di lakin aap ne kon se baat ki topic k mutabiq siwaye meri aik post per etiraz kernay k ??

Moderator Note: Bewaqoof and Mufti are requested not to divert this post. Instead read and reply on this thread Bewaqoof Vs Mufti: Who Will Go To Jannat?





azlanghani Group: Members  Joined: 27th Sep, 2012  Topic: 1  Post: 3  Age:  24  
Posted on:27th Sep 2012, 3:46am
 

nahin hoti

gussay main talaq nahin hoti
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 43  Post: 2327  Age:  47  
Posted on:30th Sep 2012, 3:18pm
 

talaq

mera khayal hai k my rizvi k ilawa kisi ko bhi shaye dna quran ka ilam hai na hadees ka

is liye talaq k muamlay per bina sochay samjhay koi bat n akahain jis se ap k ser per sari zindagi ka gunah h un dono ka

yeh deen hai koi pansari ki dukan nhn

Quran ko perhain hadees ko samjhain aur phir aisay fatway den

rehman85 Group: Members  Joined: 30th Sep, 2012  Topic: 0  Post: 3  Age:  27  
Posted on:30th Sep 2012, 4:07pm
 

rehman85

janab meri bv hamla hai or meri saas mujse lari or main ne gussy main tallaq 3 se ziada martaba kaha q k muj pe aseeb hai or us waqt b mujhe hosh nahi tha han jahan tak mujhe yaad hai k mere mun se aik bar talaq nikla to saas ne mere mun pe hath rakh dia tha meri talaq ki niyat nahi thi q k main janta tha k meri bv hamla hai or hum theek reh rahay thay. bv ne mujse aik bat kahi k muje alaq rakho main ne kaha theek hai. jis waqt main ne talaq di mohallay wale b mojood thay jo ab keh ray hain k maine 15 bar talaq kaha tha. janab aseeb ki waja se main hosh main nahi tha or 1 talaq main manta o 2sri bar mere mun pe hath rakha sas ne wo talaq ka lafz mere mun se darust nahi nikla tha.us sy aglay din mere abu ne muje court le ja kar written3 talaq dilwa di jo k bv ko bhej di gai.ap jawab den jald se jald k main bv se ruju kesay kar sakta o ya nahi.mere walid jo k kai bar mujse bv ko talaq dilana chahaty thay unko moqa mila or unho ne faida uthaya ab wo bohat khush hain. ab bv b or main b q k bachay ka pata tha humain razi hona chahaty hain. answer den jald se jald q k abhi derh mah hua hai is talaq ko. ruju kesay kia jaye?
rehman85 Group: Members  Joined: 30th Sep, 2012  Topic: 0  Post: 3  Age:  27  
Posted on:30th Sep 2012, 4:10pm
 

rehman85

mujhe khuab main b ishara ho raha hai k ye talaq nahi hui.? abi kuch din pehlay maine ne khuab main ruju kia abni bv se. or abu naraz ho gay.
rehman85 Group: Members  Joined: 30th Sep, 2012  Topic: 0  Post: 3  Age:  27  
Posted on:30th Sep 2012, 4:36pm
 

rehman85

mufti sab aap apna contact no mujhe email kijiay ga q k muje anser ka proof batana hai. main ne quran pak main b parha hai k 1 talaq k iddat hai or us se pehlay dusri nahi di ja sakti. ap rehnumai kijiay please jaldi answer dijiay ga q k ye humari zindagi ka sawal hai. muje koi keh raha hai k ho gai hai talaq or koi nahi.
1 2>>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012