aurat ka bohut zyada bolna pasand nahin ba'az mahireen ney iss silsiley mein yeh tajweez di hai kay khawand kay ghar aaney sey pehley apney behen bhaiyon aur saheliyon sey batein kar kay apna kota poora kar lein taa'kay phir unhein mian kay sath zyada baatein karney ki khwahish na ho. Mard ki tawajjah hasil karney ka behter tareeqa yeh hai kay aap guftugoo kay liye usey tayyar karein usey bataein kay usko sirf sunna hai uss ko masley ko hal nahin karna sirf sunna hai, usey bolney ki zaroorat nahin agar bolna chahey to bol sakta hai na bolney ki surat mein usey bolney kay liye sochna nahi parey ga kay kya bolna hai. Iss sey woh relax hoga aur aap ki baatein sunn lega ta'hum mian ko wazeh tor per bataein kay aap kya chahti hain usey bataein kay usey kuch kehney ki zaroorat nahin.
-
Mard fitri tor per kam bolta hai khusoosan jab usey koi masla darpaesh ho to woh bolna nahin chahta chuna'ncha agar khawand baat na karna chahey to usko baat karney per majboor na karein iss surat mein na sirf uss sey sawalaat na poochein bulkay agar woh baat karney per aamaada bhi ho jaey to bhi guftugoo ko multawi kar dein woh zyada pur sukoon hoga. Agar mard ghussey mein ho to biwi ko chahiyie kay woh usko moqa sey kay woh so jaey aap intezar karein hutta kay woh kuch pur sukoon ho jaey phir yeh poochein kay kya cheez usey pareshan kar rahi hai.
-
Kabhi aisa nahin ho sakta kay mian biwi mein ranjish na ho agar ho jaey to jhagrey ko tool deney sey bachney kay liye fareeqaen waqti tor per alag ho jaein, laraee mein waqfa kar lein aap laraee ki jagah sey duur chali jaein thori der mein donon ka ghussa kum ho jaey ga.
|