gari mein para hai' kehney ki bajaey kahein kay' kya aap gaari sey soda salf utha laein gey?' isi tarah 'merey paas raat ka khana pakaney ka waqt nahin' ki bajaey kahein 'kya aap humein khan akhilaney ley ja saktey hain?' waghaera.
-
Agar aap mard sey madad tulb karti hain aur woh mana kar deta hai (mumkin hai iss ki koi ma'aqool wajah ho) magar aap iss inkaar kay bawajood usey khush dili sey qabool kar leti hain to woh aap ki mohabbat ko yaad rakhta hai aur agli martaba aap kay sath mohabbat sey paesh aaey ga. Iss kay baad jaisey hi uss sey madad maangein gi to dil khol kar aap ki zaroorat ko poora karey ga uska ravayya lachak daar ho jaey ga, iss tarah ek sehat mund rishtey ki bunyaad parey gi. Agar aap inkaar per ghussey aur tulkhi ka izhaar karein gi to woh aaenda bhi inkaar kar dega. Maangney ka sawal mukhtasir, saada aur aasaan ho agar mard ko tafseel janney ki zaroorat ho gi tab woh khud hi aap sey sawaalaat kar ley ga. Mard sey madad hasil karney ka ek aur mu'asser tariqa yeh hai kay aap uss sey madad maangein aur phir khamoshi sey intezaar karein kisi qism ki tanqeed na karein khamoshi ek taaqat hai agar aap khamoshi khatam kar deingi to aap ki taaqat bhi khatam ho jaegi le'haza madad maangney kay ba'ad khamosh rahein, mard ko sochney ka moqa dein intezaar karein ta'hum sawal kartey waqt 'naa' sunney ka hosla bhi paeda karein. 'naa' per pur sukoon rahein iss mein agli baar mian kay liye 'naa' kehna mushkil ho jaey ga aur jab woh madad ka sawal poora kardey to tehseen karein to woh dobara bhi karey ga.
-
Mard ko bunyadi tor per bharosey, qabooliyat, qadar shanasi, ta'areef, pasandeedgi, tayed aur hosla afzaee ki zaroorat hai
|