Mard jab pareshan hota hai yah kisi uljhan ka shikar hota hai uss waqt woh apney masa'el ka zikr kisi sey nahin karta, apni pareshani kisi per zahir nahin karta aur apney aap ko apni zaat kay khol mein qaed kar leta hai aur khamoshi ikhtiyar kar leta hai. Woh khamoshi sey apney masley ka hull talash karta hai woh apni khamoshi mein biwi bulkay kisi bhi fard ki dakhal andaazi pasand nahin karta darasal mard apney masa'el ko khud hull karna chahta hai akeley uss ka muqabla karna chahta hai. Jab usey masley ka hull mil jata hai to woh pursukoon ho jata hai aur woh apney khol sey baher aa jata hai agar woh apney masley ka hull dhoondney mein naakaam rahey tab woh apney khol mein bund rehta hai apney masley ko bhoolney kay liye akhbaar parhta rehta hai, TV dekhta hai, khelon mein dilachaspi leta hai, iss doran mein woh apni biwi pey tawajjah nahin dey pata. Aurat ki khwahish hoti hai kay khawand apney masa'el per uss kay sath khul kar baat karey kyun kay aurat apney masa'el per khul kay guftugoo kar kay pursukoon ho jati hai jab kay mard apney masley ka hull talash kar kay sukoon hasil karta hai. Chuna'ncha iss doran aurat ko pursukoon rehna chahiyie woh mard per bey jaa tanqeed na karey usey mashwara deney ki koshish na karey mard ko yeh baat sukht na pasand hai kay usey aqal dii jaey le'haza apney tor per khawand ko zyada samjhaney aur aqal deney ki koshish na karein amooman aurat jab khawand ko ghaer zaroori tajaweez aur mashwarey ya madad deti hai to woh apney aap ko mian sey duur karleti hai mard ko ghaer zaroori mashwarey aur hamdardi sey chirr hai chuna'ncha iss khamoshi kay doran usey mashwara na dein, aap ko tawajja na deney per tunz na karein. Uss kay jazbat kay muta'alliq zyada sawalaat na karein, uss kay barey mein pareshani ya afsos ka izhaar na karein uss waqt usey sirf khamoshi, mohabbat, hosla afzaee aur bharosey
|