ki zaroorat hai usko masley ko hal karney ki salahiyat per bharosey ki zaroorat hai aurat sirf uss waqt boley jab mard khus uss sey madad maangey.
-
Aurat apney masail ka tafseeli zikr kar kay sukoon hasil karti hai lekin jab aurat apney masa'el ka zikr karti hai to mard amooman apney aap ko inn masail ka zimm-e-daar samajhta hai, nateejatan woh masa'el nahin sunna chahta jis sey aurat disturb ho jati hai chuna'ncha aurat mard ko yaqeen dilaey kay uss kay inn masa'el ka zimm e daar woh nahin aur na hi uska maqsad tanqeed karna hai albatta jab woh uski mushkilaat ko sum ley ga to woh pursukoon ho jaey gi. Yeh sun kar mard aasani sey guftugoo sunney kay liye tayyar ho jata hai mard ki fitrat hai kay woh zyada baatein nahin karta agar woh baatein karey to zaroori hai kay biwi uski baton ko tokey baghaer suney, uski haan mein haan milaey, foran ikhtilaaf zahir na karey bulkay uss kay bolney ki hosla afzaee karey to woh biwi ko bohut pasand karey ga uski taraf khincha chala aaey ga.
-
Mard fitri tor per daad chahta hai jab aurat iss baat ka izhaar karti hai kay mard ki koshishon sey usey faeda pohoncha hai iss waqt mard ko lagta hai kay usey daad di gaee hai to woh biwi kay aur qareeb aa jata hai jab ek aurat mard kay shoq aur uski tarjeehaat ko pasand karti hai uss waqt woh isey apni madah siraee mehsoos karta hai. Khaas tor per jab woh uski khoobiyon per haeraani ka izhar karti hai mard ki inn khoobiyon mein bohut si khoobiyan shamil ho sakti hain maslan mazaq ki hiss, quwwat e iradi, mehnat, himmat, mohabbat, hamdardi, eemaandaari, romaniyat, naeki, aur mizaj aashnaee waghaera. Jab ek mard ko saraha jata
|