le'haza biwi kay zehen mein yah baat humesha rehni chahiyie kay uss ka khawand khaandaan ka sarbaraah hai aur biwi ka ravayya uss kay sath aisa ho jaisa sarbaraah kay sath hota hai. Khawand kay walaeden ko saas susar ki bajaey sarbaraah kay walaeden samjhein aur unn kay sath wahi sulook karein jo sarbaraah kay walaeden kay sath hona chahiyie yani izzat aur ahetraam ka ravayya. Agar biwi sirf isi ek cheez ko madd e nazar rakhey to ghar laraee jhagrey sey mehfooz rahey ga. Jadeed mahireen bhi yehi kehtey hain kay biwi apney khawand sey baadshah jaisa sulook karey to woh bhi usey malika jaisa ahetraam aur darja dey ga.
4. Aurton ko mardon sey tawaqqa hoti hai kay woh unhi kay andaaz mein sochein woh unn kay jazbaat ko usi andaaz mein sochein jaisey woh mehsoos karti hain aurtein mardon ko badalney ki koshish karti hain jab kay khushgawar azdawaji zindagi kay liye ek doosrey ko badalney ki bajaey samajhna zaroori hota hai. Donon ko ek jaisa paeda nahin kya gaya albatta ek doosrey kay liye paeda kya gaya hai. Mard aur aurat mein sab sey bara farq yeh hai kay donon apney din bhar ki thakan mukhtalif andaz sey duur kartey hain mard jab thak kar choor hota hai to uss waqt woh har qism ki pareshani sey duuri ikhtiyar kar leta hai. Din bhar kay masa'el aur kaamo'n ko zehen sey nikalney kay liye woh kisi akhbaar ya magazine kay muta'alley ka sahara leta hai, apney zehen ko doosri taraf ley jata hai, khamosh rehta hai chuna'ncha iss doran biwi ko usey disturb nahin karna chahiyie uski khamoshi ko nahin torna chahiyie
|