Chapter – 4
Bharpoor Azdawaji Khushyan……..Kaisey?
Mukhtalif survey aur tehqeeqaat sey yeh baat samney aaee hai kay 90% mian biwi kay jhagrey ghaer mutawazii mubashrat ka nateeja hain, shaadiyon ki nakaami aur azdawaji jhagron ki sab sey bari wajah jinsi adum itmenaan hai. Khawand ko ilm nahin kay biwi ko kaise mutma'en karna hai aur biwi ko ilm nahin kay mian ko zyada jinsi sukoon kaisey muhayya karna hai. Ek aur research mein 60% mardon ney bataya kay woh unn aurton sey burhum hotey hain, unn per ghussa aata hai aur woh mushta'il ho jatey hain jo sex kay doran thandi hoti hain aur sex mein adum dilchaspi ka izhaar karti hain. Doosri taraf yeh baat bhi samney aaee hai kay woh shaadi jis mein sex bharpoor ho woh zyada khushgawar aur derpaa hoti hai yani jinsi zindagi khushyon ka ek ahem kulya hai. Doosrey alfaaz mein azdawaji zindagi ko khushgawar aur purjosh bananey kay liye sex ka kirdaar bunyadi hai doosri taraf iss baat per bhi taqreeban tamam mahireen muttafiq hain kay khushgawar zindagi ki bunyad khushgawar azdawaji zindagi hai. Quran majeed mein irshad hai kay "phir azdawaji zindagi ka lutf tum inn sey uthao" (al nisa 24) badqismati sey humarey haan aksaryat azdawaji zindagi kay jaez lutf sey bhi mehroom hai. 90% logon khusoosan aurton ko ilm hi nahin kay azdawaji zindagi ko kaisey purlutf banaya ja sakta hai iss kay liye ilm ki zaroorat hai aap sex sex kay barey mein jitni zyada ma'aloomaat hasil karein aur unko istimaal karein azdawaji zindagi khushgawar hogi.
|