Yeh kitaab chun'kay khawateen kay liye likhi gaee hai iss liye iss mein zyada ter aisi ma'aloomaat fraham ki gaee hain jin ki madad sey biwiyan azdawaji zindagi mein apna kirdaar ada kar sakein gi.
Bharpoor azdawaji khushyon kay hawaley sey fitri tor per mard aur aurat ki tarjeehaat mein farq hai. 'For women, love opens the door of sex, for men, sex is the doorway to love.'
Aam mahireen ka khayal hai kay aurat mohabbat aur romance ki khwahaan hai iss kay husool kay liye woh khawand ko sex deti hai jab kay mard bunyadi tor per sex chahta hai, iss kay liye woh biwi sey mohabbat karta hai. Taa'hum ba'az doosrey mahireen ka khayal hai kay aurat bhi sex ki itni hi shauqeen hai jitney mard, farq sirf yeh hai kay mard sex kay liye foran tayyar ho jata hai jab kay aurat ko iss kay liye kam az kam aadha ghanta chahiyie.
- Bharpoor azdawaji khushyon kay liye zaroori hai kay mian biwi shaadi kay ibteda'ee dino'n hi mein ek doosrey ki pasand, na pasand aur tarjeehaat sey aagaah ho jaein aap apni jinsi zarooriyaat (sexual needs) aur tarjeehaat sey apney khawand ko aagaah karein. Amooman aurton ka khayal hota hai kay mard ko ilm hota hai kay behetren azdawaji zindagi kay liye kya karney ki zarorat hai jab kay mard ko ilm nahin hota. Sex kay tamaam mahireen iss baat per muttafiq hain aur israar kartey hain kay mian biwi ko sex kay hawaley sey apni pasand aur na pasand sey ek doosrey ko aagaah karna chahiyie taa kay donon apni apni pasand ki cheez hasil karlein magar aisa kya nahin jata.
|