Humarey haan khawateen amooman gharon mein rehti hain jab kay mard bahir nikalta hai mard fitri tor per basaarat kay zaryay jinsi tor per mushta'il ho jata hai aur phir jinsi sukoon chahta hai aisi surat mein Allah kay nabi ka irshaad hai kay mard ghar jaey aur biwi sey mubashrat karey, magar ba'az auqaat biwi sey mubashrat nahin ki ja sakti maslan biwi haez (menses) mein hai ya hamal kay aakhri din hain, isi tarah bachey ki paeda'esh kay ba'ad bhi taqreeban 40 din tak to mubashrat nahin ki ja sakti. Doosri taraf aksar mard itna lamb arsa mubashrat kiye bina nahin reh saktey, ba'az auqaat mard ko tension duur karney kay liye mubashrat ki zaroorat hoti hai kyun kay mubashrat tension duur karney ka ek mu'asser zarya hai, islam ek deen e fitrat hai, islam mein iss suurat e haal mein humarey liye kya hukum hai iss silsiley mein humein Allah kay nabi sey rehnumaee milti hai..
-
Hazrat Ma'az bin jabal ney arz kya ya rasool Allah meri aurat haez ( menses) mein ho to merey liye kya cheez iss sey halal hai, farmaya tehband (naaf) sey ooper aur iss sey bachna behter. (abu daud)
-
RasoolAllah ney farmaya kay haa'eza aurat kay sath tum sab kuch karo lekin jama'a na karo. (muslim)
-
Zaid bin Aslam ney kaha kay poocha ek shakhs ney RasoolAllah sey kya cheez halal hai mere liye meri biwi sey jab kay woh haa'eza ho pus farmaya aap ney khoob mazboot baandh lo tehband uss ka uss kay jism per phir tehband kay ooper tera kaam. (mota imam malik)
|