Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Getting Orgasm - Sexual Pleasure 2  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4

Total views since 15 October 2009:
59952
 
Getting Orgasm - Sexual Pleasure
  1. Aap pursukoon aur relax hun, har tension sey aazaad, mahol bhi pur sukoon ho aur khawand kay sath aap kay ta'alluqaat bohut achey aur khushgawar hun, tension aur kharab ta'alluqaat mein orgasm hasil karna taqreeban na mumkin hota hai.
  2. Khawand aap kay sath ta'awwun karney wala ho aur woh aap kay jism aur zarooriyat ko samajhta ho le'haza aap usey yeh bataney mein sharm mehsoos na karein kay woh aap sey kis tarah muhabbat karey usey bataei'n kay woh aap kay jinsi jazbaat ko kis tarah baedaar aur mushta'il karey. Woh aap ko kis tarah aur kahan chu'ey aur mushta'il karey usko batei'n kay aap ka kon sa hissa aap ko kis tarah jinsi urooj per ley jaey ga. Iss kay liye zaroori hai kay pehley aap khud apney jism sey poori tarah aagaah hun aur phir apney khawand ko bataein aur uski rehnumaee karein iss kay liye peechey ek mushq (biwi ka apney jism ko jan'na) di gaee hai iss sey poori tarah faeda uthaei'n.
  3. Mubashrat sey pehley kam az kam 30 minute ka foreplay ho aur jis kay aakhri hissey mein khawand aap kay hassas tareen hisso'n maslan androoni jinsi lub, faraj aur khusoosan bazer ko aap ki khwahish kay mutabiq mushta'il karey hutta kay aap orgasm kay qareeb pohonch jaein to aap khawand ko dakhool ka ishara karein woh daakhil karey aur taez stroke lagaey to aap orgasm hasil karleingi.

 

 
Getting Orgasm - Sexual Pleasure
 
<< Next       Prev >>
90919293949596979899100
 
Tell a Friend
 
   Home
 
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum
   Daily Questions
   Islam and Sex
  
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012