Kinsey kay ek survey sey ma'aloom hua hai kay bohut si aurtein shaadi kay pehley saal orgasm hasil nahin kar patii'n.
Humarey haan aam khayal hai kay agar mian biwi ikatthey orgasm (sexual climax) hasil karein to zyada lutf angaez hai jab kay mojooda research sey ma'aloom hota hai kay ba'az auqaat ba'yak waqt orgasm hasil karna lutf angaez nahin hota agar biwi pehley orgasm hasil karey to uss kay liye zyada lutf angaez hai chahey tariqa koi bhi ho yani dakhool ya ungli sey bazer ka ishtiaal waghaera.
Bohut si aurtein ek orgasm sey poori tarah mutmain ho jati hain magar ba'az aurtein ek orgasm kay ba'ad bhi jinsi tor per mushta'il rehti hain yeh zyada orgasm hasil karney wali khawateen hoti hain inn aurton ki tasalli kay liye ek sey zyada orgasm ki zaroorat hoti hai. Kinsey kay mutabiq aisi aurton ki ta'adaad 14% hai. Dr. David kay mutabiq ek aurat ek ghantey mein 40 orgasm hasil kar sakti hai, din mein teen baar aur har roz iss tarah ba'az mahireen ka khayal hai kay har aurat ek sey zyada orgasm hasil kar sakti hai.
Mahireen ka khayal hai kay zyada orgasm hasil karney wali khawateen 8 ya 10 orgasm hasil karney kay ba'ad bhi mubashrat kay khatmey per mard kay inzal kay ba'ad poori tarah mutmain nahin hotii'n aisi khawateen kay liye mashwara hai kay woh zyada orgasm ki bajaey ek bharpoor orgasm hasil karein iss ka tariqa yeh hai kay orgasm hasil honey sey kuch der pehlay woh khawand ko ishaara karein kay woh ishti'aal (stimulation) ko kam kardey, ishti'aal kam honey per phir ishti'aal ko barhaey phir kam karey ka'ee baar iss tarah kya jaey.
|