Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Ghusl e Janabat Ka Tariqa  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
164057
 
Ghusl e Janabat Ka Tariqa

 Ba'az auqaat suhag raat ko aurat ko haez (menses) shuru ho jata hai jis ki wajah sey khawand ko sukht pareshani ka samna karna parta hai usey zabardast tanau ho raha hota hai jo kisi surat khatam nahin hota mubashrat woh kar nahin sakta aisi intehaee surat mein mard kay zakar aur khusyon mein shadeed dard honay lagta hai woh mard jinhon ney kabhi khud lazzati (masturbation) nahin ki hoti unn kay liye ye ek nehayat sangeen masla hota hai kyun kay agar mard ko 4 ghanto'n sey zyada der tana'u rahey to woh mustaqil tor per na mard ho sakta hai chuna'ncha aisi surat mein biwi ko sharam ek taraf rakhtey huey chahiyie kay woh khawand kay hassas hisson khusoosan zakar ko chikney hathon sey mushtail karey hatta kay woh manzil (discharge) ho kar sukoon hasil karey.

Ghusl e Janabat Ka Tariqa

    Mubashrat mein dakhool kay ba'ad aurat per ghusal lazim ho jata hai iss kay liye mard ka inzal hona ya aurat ka orgasm hasil karna zaroori nahin iss tarah jab bhi koi cheez faraj mein daakhil hogi to aurat per ghusl wajib ho jaey ga iss kay elawa kisi bhi wajah maslan khwab ya tasawwuraat ki wajah sey faraj sey pani beh nikley to bhi ghusl e janabat lazim ho jaey ga.

    Ghusl e janabat kay liye pehley donon hathon ko dhoya jaey phir sharam gaah ko achi tarah dho liya jaey aur ek baar phir hathon ko achi tarah saaf kar liya jaey iss kay baad namaz kay wuzuu ki tarah wuzuu kya jaey phir ungliyaan pani mein tarr kat kay baalon ki jarron ka khalaal kar liya jaey phir poorey jism per pani baha diya jaey kay jism ka koi hissa  tarr honey sey na reh jaey albatta khawateen ko apney baal kholney ki zaroorat nahin sirf inn per pani baha liya jaey. (muslim, bukhari)

 

 
Ghusl e Janabat Ka Tariqa
 
<< Next       Prev >>
8485868788899091929394
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012