Yani aap ka'ee baar orgasm kay qareeb pohonchei'n magar hasil na karein phir aakhir kaar orgasm hasil karlein yeh orgasm aap ko poori tarah mutmain kar dega aur phir aap ko mazeed orgasm ki zaroorat aur talab na hogi.
Foreplay kay doran jinsi le'haz sey bohut zyada ishti'aal kay ba'ad agar aurat ko orgasm hasil na ho to ba'az aurtein shadeed takleef (discomfort) mehsoos karti hain aur unko normal honay mein do, teen ghantey lag jatey hain, aisi aurton kay gumraahi kay imkaanaat zyada hotey hain, aisi surat mein aap apney bazer ko apni chikni ungli sey mushta'il karein aur orgasm kay husool tak iss ishti'aal ko jari rakhein to amooman 5 ya 6 minute mein aap orgasm hasil kar kay pur sukoon ho jaeingi.
Orgasm kay husool kay saat ma'aroof zarae'a (roots) hain maslan bazer (clitoris), G spot, faraj ka baerooni hissa, mons area, jinsi lubo'n (labias) aur pistaan ka ishtiaal (breast stimulation) waghaera aur ba'az khawateen sirf jinsi tasawwuraat (sexual thoughts) ki madad sey bhi orgasm hasil kar leti hain taa'hum aksar aurtein G spot, bazer aur faraj kay ishti'aal sey orgasm hasil karti hain. Master & Johnson ka khayal hai kay har aurat bilawasta (indirectly) ya bilwasta (directly) bazer kay ishti'aal sey orgasm hasil karti hain, jab kay doosrey mahireen ka khayal hai kay taqreeban 80% khawateen bazer kay bila wasta (direct) ishti'aal sey orgasm hasil karti hain. Baqi G spot aur faraj kay ishti'aal sey. Agarcha khawateen dakhool sey bohut lutf andoz hoti hain magar iss sey orgasm kam hi hasil hota hai taa'hum kuch khawateen gehrey dakhool aur zordaar jhatkon sey bhi orgasm hasil kar leti hain.
Tamaam mahireen iss baat per muttafiq hain kay mubashrat mein orgasm kay liye dakhool kay ba'ad aurat kay bazer ko bila wasta mushta'il karna zaroori hai.
|