Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Male Problems Of First Intercourse - Pehli Mubashrat Kay Mardana Masail  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4

Total views since 15 October 2009:
121167
 
Male Problems Of First Intercourse

Pehli Mubashrat Kay Masail

Mardana Masail (Male Problems)

    Pehli mubashrat mein mardo'n ko amooman do masail ka saamna karna parta hai kyun kay yeh unki pehli mubashrat hoti hai uski mani ki naaliyan (seminal vesicles) bhari hui hoti hain jo kay ma'amooli jinsi ishtiaal ki wajah sey mani ko baher nikal deti hain yani khawand ka inzal (discharge) jald ho jata hai ba'az auqaat to dakhool sey pehley hi mard manzil ho jata hai. Iss sey mard bohut zyada sharmindagi mehsoos karta hai jab kay yeh koi jismaani beemari nahin iss surat mein aap bhi jhunjhalaahat ka izhaar na karein thori der ba'ad woh phir tayyar ho jaey ga aur mubashrat karein iss bar uski kaarkardagi behter hogi aur aa'enda bhi rozana do baar mubashrat karein to khawand ki kaarkardagi bohut behter ho jaegi.

    Mu'aashrey mein pheli hui bey shumaar ghalat fehmiyo'n (misconception) (sex education….sab kay liye mein inka tafseeli zikr mojood hai) ki wajah sey aksar naujawaan ghalat tor per apney aap ko kamzor samajhtey hain aur unko mubashrat mein nakaami ka khauf hota hai aur iss khauf ki wajah sey ya to unko tana'u nahin hota ya kam hota hai ya phir dakhool sey pehley yakdam khatam ho jata hai, jis fard ko kabhi bhi tana'u (erection) ho woh bilkul normal hota hai, uska masla sirf nafsiyati hota hai. Aap khawand ki hosla afzaee karein aur tanzya fiqra na kahein warna woh humesha kay liye naa mard ho jaega, iss surat mein do haftey foreplay karein aur mubashrat sey mukammal parhaez karein woh bilkul theek ho jaega. Taa'hum agar woh humari kitab "Sex Education…Sab Kay Liye" parhley to uska masla jald hal ho jaey ga ba surat e deegar foran kisi achey mahir e nafsiyaat sey raabta karein.

 

 
 
<< Next       Prev >>
8081828384858687888990
 
Tell a Friend
 
   Home
 
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum
   Daily Questions
   Islam and Sex
  
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012