jab kay aurat ko tawajjuh/parwah, mizaj aashnaee, izzat o ahetram, ja'nisari/qurbani, tauseeq aur yaqeen dahaani ki zaroorat hai.
-
Har mard kay dil ki gehraiyo'n mein yeh khwahish kahin na kahin chupi hoti hai kay aurat ki zindagi mein uski haisiyat ek hero ki ho le'haza usey apna fan bananey kay liye usey yeh haisiyiat dein.
-
Aurton mein amooman yeh baat paee jati hai kay woh mard ki woh baatein yaad rakhein gi jo iss ne biwi kay liye nahin kiin woh iss ka izhar karti hain jis se tulkhi paeda hoti hai aur unn baton ko yaad nahin rakhti jo khawand ney uss kay liye ki hoti hain le'haza uska dil jeetney kay liye mian ki unn baton ko yaad rakhein jo uss ney aap kay liye kii hain unn ka khuley aam aetraaf karein to aap ko doosri cheezein bhi mil jaeingi.
-
Apney saathi per chaa janey ki koshish na karein yeh cheez mard ko bey hudd na pasand hai waisey bhi agar aap isey apna ghulam bana lein to aap bhi ghulam ki biwi kehlaein gi
-
Apni zindagi mein sab sey zyada haisiyat aur ahmiyat apney khawand ko dein maekey aur susraal sey bhi zyada, hutta kay bachey bhi doosrey number per aaein, mian kay khilaf koi baat na sunein khusoosan manfi aur takleef deh baat, bulkay logon kay samney mian ki mudafe'at karein uski safaee paesh karein.
-
Mian kay khilaf khud bhi koi baat na karein, khusoosan logon kay samney, khawand kay sath aap ka ravayya bohut hi shaesta ho, aeb joee na karein, uss per tanqeed na karein, uski tauheen na karein, shaestagi aur khush khalqi ka ravayya apnaein. Allah kay nabi ney uss insan ko behetreen qaraar diya hai jis ka khulq acha hai.
|