ek azeem insaan hai to phir woh choti choti cheezein karna jari rakhta hai aur woh mazeed acha banney ki koshish karta hai magar biwi ki madad kay baghaer (tehseen kay baghaer) woh la'shaoori tor per choti choti cheezein karni chor dega phir woh sari tawajjah paisa kamaney aur acha kafeel banney ki taraf mabzool kar dey ga le'haza jab woh aap kay liye choti choti cheezein karey to aap uski tehseen karein usey sarahein. Jab uski khidmaat ko saraha nahin jata to uss mein zyada deney ka jazba khatam ho jata hai agar aap ko zyada leney ki tamanna hai to aap khawand ki khidmaat ko zyada sarahein zyada hosla afzaee karein aur zyada tawajjuh aur mohabbat hasil karein.
-
Mard ko iss baat sey nafrat hai kay woh ghalti per hai. Mard kay liye sorry kehna bohut mushkil hai, ghalti ka aetraaf karna mushkil hai le'haza aap aisi guftugoo na karein jis sey mard ko ehsaas ho kay woh ghalti per hai usey ghalat sabit karney ki koshish na karein. Yeh bhi na kahein kay koi ghalat kaam karney ki wajah se woh ek bura insaan hai bulkay iss tarah kahein kay jab woh ghalat kaam karta hai to aap udaas aur khauf zada ho jati hain aap ko dukh aur takleef pohonchi hai phir woh dukh deney wala kaam karna chor dega.
-
1500 shaadi shuda jorron ki ek research sey ma'aloom hua kay mardon ko aurton sey sab sey barri shikayat yeh hai kay woh bolti bohut zyada hain aur sunti nahin ek aur research sey yeh baat samney aaee hai kay mard aur aurat mizaj kay le'haz sey bilkul mukhtalif hain. Auret fitri tor per bol kar apney jazbaat ka izhar karna chahti hai jab kay mard ko
|