hai iss waqt uss mein biwi ko har kisi per tarjeeh deney ki aadat parr jati hai, aurat ko tahaffuz aur mard ko hosla afzaee ki zaroorat hoti hai, biwi ko khawand ki khoobiyon ko barha charha kar beyan karna chahiyie.
-
Khawand ko apney qareeb karney ka aasaan tariqa hai kay woh jaisa bhi hai usey waisa hi qabool kar liya jaey, usey tabdeel karney ki koshiah na karein, jab aap qabool kar leingi to phir woh khud hi apney aap ko tabdeel karney ki koshish karey ga.
-
Ghussey mein inssan ki khoobiyon ko ghunn lag jata hai le'haza ghussey ki haalat mein guftugoo karna munasib nahin baat karein gi ti tulkhi mein izaafa hoga iss ka behetreen hal yeh hai kay aap mian ko ek khat likhein aur apney jazbaat ka izhar karein waisey bhi khat mein aap apney jazbaat ka behter izhaar kar sakein gi iss khat sey aap pursukoon ho jaein gi aur khawand bhi aap kay jazbaat sey aagah ho jaey ga aur tulkhi mein bhi izaafa na hoga.
-
Fitri tor per mard ko biwi ki narazzgi aur uss kay hukum chalaney sey sukht nafrat hai iss mein uss kay dil mein aurat ki mohabbat kam ho jati hai aur woh uss sey duur ho jata hai le'haza iss sey bacha jaey.
-
Aurat ko ghuma phira kar baat karney ki aadat hai jis ki wajah sey aksar mard biwi ki asal baat samajhney sey qasir rehtey hain jis sey tulkhi paeda hoti hai le'haza aap do tok baat karein mard ko do tok baat pasand hai maslan 'bachon ko skool sey lana hai aur mein la nahin sakti' ki bajaey kahein kay 'kya aap bachon ko skool sey ley aaein gey?' ya 'soda salf
|