Agar khawand kisi wajah sey pareshan hai to uss sey poochein kya woh aapki wajah sey pareshan hai, phir uska tadaruk karein. Aksar auqaat humein ilm nahin hota kay humari konsi cheez doosron ko pareshan karti hai. Agar ilm ho jaey to phir hum uss sey bachney ki koshish kartey hain agar woh aapki wajah sey pareshan nahin to aap pursrkoon ho jaeingi aur ghar ka mahol behter hoga iska ek tareeqa yeh hai kay donon mian biwi ek ek list banaein jin mein unn cheezon ka zikr ho jo ek ko doosrey ki pasand nahin. Nehayat pur sukoon ho kar unka muta'alla karein agarcha yeh ek mushkil kam hai phir inn lists ko ghar kay sehan mein dafan kardein. Ab unn achi cheezon ki fehrist banaein jo aap ek doosrey mein talash kar saktey hain chahey woh kitni hi ma'amooli kyun na hun. Do lists banaein her ek mein aisi cheezein shamil karein jo aap ko doosrey ki pasand hain inko frame karkay bedroom mein latkaein aur rozana ek baar parhein.
-
Mard fitri tor per tehseen, qadar shanaasi aur qadar daani chahta hai jab kay aurat tawajjah aur mohabbat chahti hai chuna'ncha mian ki tehseen kay liye mawaqa'e talash karein woh ghar kay liye koi cheez laey to uski tehseem karein mian ko bataein key uski wajah sey aap ko kitni sahoolatein mayasser hain. Uski wajah sey aap kitney logon sey behter hain, gahey gahey uski koshishon kay liye uski hosla afzaee aur tehseen karein jo woh khaandaan ki behetri kay liye kar raha hai. Baher khana khilaya to iss kay liye usey sarahein jab aap sarahney ki bajaey har waqt masa'el ka zikr karein gi to khawand mehsoos karey ga kay woh aap kay liye kuch nahin kar raha, phir woh bujh jata hai jab aurat choti choti baton kay liye khawand ko batati hai kay woh
|