Agar kabhi mian ghussey mein cheekhey to aap jawab na dein jawab deingi to jhagra ghanton chaley ga, agar aap khamosh ho jaein gi to mian do minute sey zyada musalsal akela nahin bol sakey ga thak kar chup ho jaey ga.
- Agar aap ko mian ki kisi baat per ghussa hai to uska bila waasta izhar na karein iss sey ta'alluqaat mein kharaabi paeda hogi aap ek aur tareeqey sey ghussa nikal kar pursukoon ho sakti hain.
Mushq no. 1
- Aaram sey beth jaein 10 minute mein ek ghussey bhara khat likhein iss mein woh sab baatein likhein jo aap kehna chahti hain(khat khawand ko nahin dena)
- Phir khawand (fard-e-mukhalif) ki taraf sey 3 minute mein khat ka jawab dein jis mein biwi ka apney jazbaat kay izhaar ka shukriya ada kya jaey khawand na sirf apni ghalti tasleem karey bulkay ma'azrat bhi karey.
- Ab 2 minute kay ander iss khat ka jawab diya jaey jiss mein aap likhein gi kay aap ney khawand ko maaf kar diya ju'nhi yeh mushq mukammal hogi aap pur sukoon ho jaeingi.
Mushq no. 2 Aaram sey beth jaein 3 lambey saans lein aankhein band kar lein ab tasawwur mein mian per sara ghussa nikalein jo kuch kehna chahti hain kahein koi aap ko rokney wala nahin hutta kay aap chilla bhi sakti hain iss mein aap kamrey mein akeli hun aap jald pur sukoon ho jaeingi.
|