Ba'az auqaat woh in donon kay darmiyan tawazun paeda nahin kar sakti jis ki wajah sey ghar intishaar ka shikar ho jata hai waisey jab donon mian biwi mulazimat karein to donon ko ek tarah kay masa'el ka saamna hota hai. Iss surat mein koi sahara deney wala nahin hota ab ghar aa kar mian ko zyada sukoon-o-aaraam nahin milta jiski wajah sey woh biwi ko bharpoor tawajja aur mohabbat nahin dey pata, jab kay mulazimat paesha aurat ko ghar mein rehney wali aurat ki nisbat zyada tawajja ki zaroorat hoti hai. Jab biwi job karti hai aur paisey kamati hai to fitri tor per uska ravayya badal jata hai ab woh apney aap ko zyada khud mukhtar samajhti hai jis ki wajah sey amooman mian ko adjustment ka masla ho jata hai.
34. Ba'az auqaat biwi ko mian ki koi cheez maslan aadat pareshan karti hai kisi wajah sey mian ko nahin bata sakti ya mian iss ko nahin badal sakta aap uss ki ahmiyat kam kar kay pursukoon ho sakti hain iss kay liye yeh mushq karein yeh mushq bahoo saas kay liye aur saas bahoo kay liye bhi istaemaal kar sakti hai.
Mushq no. 5
- Aaraam sey beth jaein aankhein bund kar kay 3 lambey saans lein aur jism ko relax karein.
- Mian ki iss aadat kay baarey mein sochein jo aap ko naa pasand hai aap kay dimagh mein uski tasweer ban jaey gi tasweer ko ghor sey dekhein aur apney naa pasandeeda ehsaasaat ko note karein.
- Iss tasweer ko dekhtey huey apney aap ko bohut lamba kar lein tasweer wahin neechey rahegi ab iss bulandi sey tasweer ko dobara dekhein ab aap ko tasweer
|