|
|
Home | Sex Education in Urdu for Women | Stop Negative Thinking - Na Pasandeeda Waqeaat Kay Asraat Ko Khatam Karna |
|
List in Urdu >> Page 1 |
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 |
|
Total views since 15 October 2009: 7783 |
|
|
Stop Negative Thinking |
-
Aap ney VCR to zaroor dekha hoga iss mein ba'az auqaat kisi waqae ko dobara dekhney key liye film ko reverse kartey hain agar nahin dekha to ek baar dekh lijiye. Ab iss waqaey ki film ko ek baar phir apney dimagh mein chalaein film mukammal honey per iss film ko tezi kay sath ulta ghumaein yani reverse ya rewind karein phir aankhein khol dein 5 ta 10 minute isi tarah karein har baar mushq mukammal honey per aankhein khol dein.
-
Iss waqaey ko ab dobara zehen mein laein to aap mehsoos karein gi kay iss kay burey asraat khatam ho chukey hain agar burey asraat khatam nahin huey to iss mushq ko 5/10 baar mazeed dohraein iss mushq ko laraee jhagrey kay foran ba'ad istaemaal kar lein to aap jald pursukoon ho jaein gi. Mushq no.9
-
Aaram sey kisi pursukoon jagah beth jaein aankhein bund kar kay teen lambey saans lein.
-
Apney dimagh mein iss naa pasandeeda waqaey ki film chalaein aur burey ehsaasaat ko note karlein.
-
Dobara isi film ko apney dimagh mein chalaein aur iss sarey waqaey ka ahem tareen manzar muntakhib karein aur uss kay gird lakrri ya lohey waghaera ka frame laga dein.
-
Ab iss frame wali tasweer ko wahan sey nikal kar aja'eb ghar ya art gallery mein doosri tasweeron kay sath latka dein uss kay ooper ek bulb roshan kar dein aankhein khol dein.
|
|
|
|
|
<< Next
Prev >>
|
|
|
 |
Tell a Friend |
|
|
|
|
|
|
|
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site. |
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012 |
|