dhundhli, ghaer wazaeh, choti aur duur nazar aaey gi aur aap kay naa pasandeeda ehsaasaat bohut kam ho jaein gey.
-
Ab apney aap ko mazeed lamba karein bohut ooper ley jaein aur wahan sey neechey isi tasweer ko phir dekhein ab woh aap ko sirf ek ghaer wazaeh nuqta sa nazar aaey ga aur aap kay burey ehsaasaat ya to bilkul khatam ho chukey hongey ya bohut kam ho chukey hongey yeh mushq ek, do baar karni kafi hai.
-
Aankhein khol dein aur idhar udhar dekhein.
-
Dobara aankhein bund kar kay ab phir mian ki isi naa pasandeeda aadat key baarey mein sochein ab aap ko woh tasweer nazar nahin aaey gi aap ki nigahon mein uski ahmiyat khatam ho jaey gi.
Agli mushq bhi isi kaam kay liye istaemaal ki jasakti hai.
Mushq no.6
-
Aankhein bund kar kay aaram sey beth jaein teen lambey saans lein, naak sey lein aur mu'nh sey chor dein. Mian ki naa pasandeeda aadat kay barey mein sochein aap kay dimagh mein uski tasweer ban jaegi tasweer ko ghor sey dekhein aur apney naa pasandeeda ehsaasaat ko note karein zahir hai kay aap ko bohut bura lag raha hoga.
-
Ab tasweer ko black and white kar dein, ghaer wazeh kar dein, chota kar dein aur duur ley jaein uski jagah ko budlein agar tasweer bilkul aap kay samney ban rahi hai to usko daaein, bae'in ya oopeer neechey ley ja kar dekhein hutta kay burey ehsaasaat khatam ho jaein ya bohut kam ho jaein do baar iski mushq kar lein.
|