tursh roee, tulkh kalami, hungama aaraee, jhagraloo pan mohanbbat ko bhasam karney wali shaetaani chaalein hain ek baat zehen mein rakhein log humesha uss fard ko bura samajhtey hain jo ghaer shaesta, tursh, tulkh kalaam, bud akhlaq aur nukta cheeni karney wala ho aur unko uss shakhs sey hamdardi hoti hai jis kay sath kharab ravayya ikhtiyar kya gaya ho.
-
Biwi ko humesha shohar ki pasand aur naa pasand ka khayal rakhna chahiyie. Khusoosan khaney mein usey kya pasand hai aur kya naa pasand. Uski pasand kay mutabiq apney aap ko purkashish banaein subah kaam per jatey waqt mian ko darwazey tak chorney aaein. Ju'nhi mian shaam ko ghar aaey to saarey kam chor kar darwazey per aaein muskurahat sey uska istaqbaal karein uss kay hath mein koi cheez ho to pakar lein. Behter hay kay aap uss waqt achey libas mein hun yani purkashish aur har buu sey paak hun usey kuch der tanhayee mein aaraam karney dein mian aap ko dil sey chahey ga aur aapki qadar karey ga.
-
Ek research sey ma'aloom hua kay khushgawar shaadi mein mian biwi ek doosrey kay barey mein zyada ma'aloomaat rakhtey hain aap bhi mian kay barey mein zyada se zyada ma'aloomaat hasil karein. Usey kya pasand hai aur kya naa pasand, uss kay dost kon hain aur kin logon ko woh naa pasand karta hai, usey kis tarah ki kutub pasand hain, konsey khel achey lagtey hain, uska mashghala kya hai waghaera.
-
Khawand ko ma'aloom hona chahiyie kay uski konsi cheez aap ko sab sey zyada pareshan karti hai. Ilzam na dein, tanqeed na karein bulkay pyar aur achey andaz sey bataein. Isi tarah biwi ko bhi ma'aloom hona chahiyie kay uski konsi cheez khawand ko pareshan karti hai
|