Yeh log bilkul normal hotey hain aur inki namardi nafsiyati hoti hai. Yeh janney kay liye kay apko raat ko sotey huey tanau (erection) hota hai yeh nahi ek saada sa test karein. Post office sey ticket khareed lein jo aapas mein juri hui ho. Raat ko sotey waqt inn tickets ko penis ki topi kay neechey penis kay charon taraf lapaet dein aur sojaein. Subha check karein agar yeh tickets alaehda ho gaey hun to aap ko raat ko sotey huey theek thaak tanau (erection) hua hai aur aap bilkul normal hain. Nafsiyati elaj kay liye kisi mahir e nafsiyat sey milein jo mahir e jinsiyat bhi ho. Har mahir e nafsiyat iss field mein mahir nahi hota.
40 years kay baad 15% logon ko yeh masla jismani ho sakta hai. Yani kisi jismani beemari ki wajah sey penis mein pura khoon nahi jata. Jiski wajah sey insan ko tanau (erection) nahi hota. Iss tarhan baaz adviyat (medicine) kay side effects ki wajah sey yeh masla paeda ho jata hai jo kay adviyat (medicine) chorney ya change karney sey khud ba khud theek ho jata hai.
Namardi (Jinsi Kamzori) Ki Ahem Wajoohaat:
(Male Impotence Causes - Erectile Dysfunction)
Namardi ki bohut si wajoohaat mein sey kuch ahem wajoohaat yeh hain:
Musht Zani (masturbation) Kay Nuqsanat Ka Khauf:
26 years old khubsurat sehat mand imran ki shadi honay wali thee. Usay shak tha kay woh shadi kay qabil nahi. Jab iss kay la shaour ki madad sey iss ka nafsiyati tajzia kiya gaya to pata chala kay woh bachpan mein kabhi kabhar khud lazzati/musht zani (masturbation) karleta tha.
|