Iss doran uss ney ek pamphlet parha jis mein musht zani (masturbation) kay bohut sey nuqsanat ka zikar tha. Writer ney iss baat per bohut zor diya tha kay iss sey insan mardana kamzori (male impotency) ka shikar ho jata hai aur shadi kay qabil nahi rehta hai. Iss pamphlet kay parhney kay baad woh mardana kamzori mehsoos karney laga aur elaj kay liye ek hakeem kay pass gaya. Hakeem sahib ney usko check kara aur zor dey kar kaha kay woh jinsi tor pey bilkul khatam ho chuka hai. Uss kay baad uss kay penis ka tanau bilkul khatam ho gaya. Hamarey elaj kay chund sessions kay baad woh bilkul normal ho gaya. Hamarey yahan namardi ki sab say bari wajah musht zani (masturbation) sey muzir asrat ka khauf or darr hai. Jab kay duniya bhar ki tahqeeqat sey sabit ho chuka hai kay iss kay kisi bhi tarhan kay koi nuqsanat (disadvantages) nahi hain.
Maazi Ka Waqia (Past Experience):
50 saala Rehmat guzishta 2 saal sey mubashrat nahi kar saka. Usko aam halat mein tanau hota lekin jab bhi woh mubashrat ki koshish karta tanau khatam ho jata tha. Nafsiyati tajziye sey pata chala kay 2 saal qabal raat ko jab woh biwi kay sath mubashrat kar raha tha kay achanak kisi bachey ney darwaza knock kara to khauf sey uska tanau (erection) khatam ho gaya. Uss kay baad uss kay la shaour mein yeh khauf beth gaya kay phir koi bacha darwaza na knock kardey. Uss kay baad isi la shaouri khauf sey woh mubashrat na kar saka.
Zehni Dabau (Tension - Stress):
Namardi (erectile dysfunction) ki ek bohut bari wajah Zehni dabao bhi hai. Mukhtalif tajurbaat sey sabit hua hai kay Zehni dabao ki wajah sey jinsi hormones (testosterone) ki paidawar mein kami ho jati hai
|