Yad rahey kay walk aur body building waghaera jaisi exercise testosterone mein izafa nahi karti. (Bechtel)
Jinsi Khayalat Aur Khwab (Sexual Thoughts And Dreams):
Baloghat mein dakhil hotey hi naujawano ko jinsi khwab aaney lagtey hain. Naujawano kay elawa aam logon ki aksariyat ko bhi biwi kay elawa doosrey mohtaram rishton maslan Mother, Father, Sister and brother, Beti waghaera ka hawaley sey jinsi khayalat, tasawwurat aur khwab waghaera aatey hain. Yeh ek normal baat hai gunah nahi.
Hadees: Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya: "Neiki ka sochna, iss kay liye jana aur phir neiki karna har ek kay liye alag alag sawab hai magar buraee ka sochna aur iss kay liye janey koi gunah nahi. Gunah sirf buraee karney ka hai". (Mobeen)
Bachey jab baligh hotey hain to unko jinsi khayalat (sexual thoughts) aaney lagtey hain jo doosrey logon kay elawa qareebi azeezon maslan brother and sister, parents hatta kay apney bachon kay barey mein bhi aa sakti hain. Bachey unko gunah samajhtey hain aur phir shadeed ehsaas e gunah ki wajah sey tension aur zehni dabao, chirchira pan aur depression waghaera ka shikar ho jatey hain. Iss tarhan kay kahayal ka ana gunah nahi kyun kay yeh khayalat khud ba khud aatey hain. Yeh ek normal cheez hai. America mein bohut si researches sey maloom hua hai kay naujawan rozana taqreeban ek bar 10 minutes kay liye sex kay barey mein zaroor sochtey hain,
|