Khoorak (diet) kay hawaley sey bhi bohut research ho chuki hai magar abhi tak koi aisi khoorak discover nahi ho saki jo mardana quwwat mein ezafa karey albatta har woh khoorak jo general sehat kay liye achi hai wohi jinsi quwwat kay liye bhi mufeed hai issi tarhan woh khoorak jo sehat kay liye nuqsan deh hai woh jinsi sehat (sexual health) kay liye bhi nuqsan deh hai. Mardana quwwat kay liye low fat diet mufeed hai jo general sehat ka liye bhi mufeed hai. (Bechtel)
Sharab, Cigarette noshi Aur Mardana Quwwat?
(Drinking, Smoking And Sexuality?)
Bohut sey log ayyashi aur badkirdari kay liye sharab istimal kartey hain. Yani shabab aur sharab ko ikatha kartey hain. Inka khayal hai kay sharab jinsi khwahish (libido) aur mardana quwwat yani tanau (erection) mein izafa karti hai. Sharab shuru mein kuch arsa thori miqdar mein jinsi lutf o suroor mein izafa karti hai magar mustaqil estimal sey essai na sirf jinsi khwahish (libido) khatam ho jati hai bul kay mardana quwwat bhi khatam ho jati hai yani insan ko tanau (erection) nahi hoti. Issi tarhan cigarette noshi (smoking) ki wajah sey blood vessels shrink ho jati hain jiski wajah sey penis ki nalion mein bharpoor khoon nahi jata jiski wajah sey bharpoor tanau (erection) nahi hoti. Research sey sabit ho chuka hai kay lamba arsa smoking aur sharab noshi insan ki mardana quwwat ko khatam kar deti hai. (Dastoor: Zakir: Hyde: Bechtel)
Tala Aur Mardana Quwwat?
Akhbari ishteharaat ka jaeza lein to wahan mardana quwwat ki adviyat (medicine) kay sath bohut sey ads tala kay bhi hotey hain.
|