Hite ki report sey bhi yeh baat samney aaee hai kay baaz 80 years kay mard ek week mein 4 sey 5 baar mubashrat (Intercourse) kar letey hain. Ek aur survey sey maloom hua hai kay 37% old age Americans week mein 1 bar mubashrat (Intercourse) zaroor kartey hain. Baaz mard 60 saal ki umer kay baad ek din mein 2 bar bhi mubashrat (Intercourse) kar letey hain. Ek sey zyada researches sey yeh baat samney aaee hai kay aam log old age mein sex sey zyada lutf andoz hotey hain. (Hyde) albatta burhapey mein tanau (erection) zara der sey hota hai. Naujawan aadmi 3 sey 5 seconds mein tanau (erection) hasil kar leta hai. Jab kay 50 years ki age mein tanau (erection) kay liye dugna time aur 70 saal ki umer (age) mein 3 guna time chahiyie. Baaz auqat biwi ko husband kay penis ko stimulate karna parta hai. Tanau (erection) bhi jawani ki nisbat kam hota hai magar insan dakhool (penetration) kay qabil hota hai. Achi baat yeh hai kay insan ko inzal (ejaculation) per nisbatan zyada control hota hai. Baaz auqat inzal (ejaculation) hota hi nahi. Yeh sab kuch normal hai. Iss tarhan aurton kay vagina mein secretion zara der sey ati hai jo kay jawani mein jald aa jati hai.
Old age mein mardon aur aurton ka jinsi hormone ki miqdaar 30 years ki age kay muqabley mein kam ho jati hai. Jinsi hormone ki kami ki wajah sey insan ki jinsi khwahish(libido) aur tanau (erection) mein qadrey kami ho jati hai. Magar yeh hormone kabhi khatam nahi hotey aur insan martey dam tak sex (mubashrat) aur bachey paeda karney kay qabil hota hai. (Hyde) Albatta 5% mardon kay jinsi hormone testosterone ki kami zara zyada hojati hai jiski wajha sey enhai tanau (erection) nahi hota.
|