Agar ek shakhs jawani mein ek month mein ek bar mubashrat (Intercourse) karey ga to woh shakhs old age mein year mein ek bar hi kar sakey ga. Iss hawaley sey saada usool yeh hai kay aap jitna mubashrat (Intercourse) kartey hain itna hi zyada kar sakein gey. Weekly Time January 2004 mein ek research article published hua hai jis sey maloom hota hai kay woh shakhs jo week mein 2 times ya zyada mubashrat (Intercourse) kartey hain inki azdawaji zindagi zyada khushgawar hoti hai. Inki general sehat behter aur age lambi hoti hai. Heart attack kay ratio mein 50% kami aa jati hai. Inki resistance power zyada hojati hai. Dard ko bardasht karney ki ability mein izafa ho jata hai. Active sexual life na sirf depression ko kam karti hai bul kay insan kaee qism kay cancers (aurton mein Breast cancer aur mardon mein prostate cancer) sey bhi mehfooz ho jata hai. Waisey maaroof researcher Kinsey kay mutabiq America mein mubashrat (Intercourse) ki average 3.35 per week hai. Iss kay bawajood logon ki general sehat bohut achi aur age taweel hai.
Jawani Mein Zyada Fa'aal Zindagi - Burhapey Mein Mardana Kamzori? (Sexually Active Life)
Humarey yahan buzurg naujawan nasal ko different tareeqon sey mubashrat (Intercourse) mein miyana rawi ikhtiyar karney ki talqeen kartey hain. Inka khayal hai kay agar jawani mein zyada mubashrat (Intercourse) ki jaey to yeh insan ko kamzor kar deta hai aur jab yeh shakhs old age mein dakhil hota hai to iski jinsi salahiyat kam ho jati hai aur iss mardana kamzori ki wajah sey 50 years ki age kay baad woh mubashrat (Intercourse) kay qabil nahi rahta. Halankay haqeeqat bilkul ulat hai, Yani 60 years kay baad woh log jinsi tor per mutaharrik (sexually active) ho saktey hain jo jawani mein zyada active hon.
|