Kam Umer Shohar Aur Old Age Biwi?
Kaha jata hai kay mard ko apni age sey zyada age ki aurat sey shadi nahi karni chahiye. Zyada age ki aurat sey shadi kar kay mard jaldi old ho jata hai jab kay aurat jawan hojati hai. Iss ki koi haqeeqat nahi. (Zakir) Hazrat Khadija ki age, Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ki age sey 15 years zyada thee aur inki zindagi bohut khushgawar guzri. Taham behter yeh hai kay aurat ki age mard sey 5 to 10 years choti ho kyun ka aurton ka jism bachon ki paedaesh ki wajah sey jald dhal jata hai jiski wajah sey aurat mein kashish kam ho jati hai. Agar biwi ki age kam hogi to uski jismani kashish zyada der tak barqarar rahey gi. Waisey bhi aurat jismani lehaz sey mard kay muqabley mein jald mature hojati hai.
Barri Umer Ka Mard Aur Naujawan Biwi?
East aur West donon mein yeh baat mashhoor hai kay agar zyada age ka aadmi kisi naujawan larki sey shadi karey ga to woh bhi jawan ho jaey ga. Iss ka burhapey ka amal ruk jaey ga. Issi liye burhey jageer dar aur sarmaya daar jawan honay kay liye naujawan larkion sey shadi kartey hain. Yeh bhi ek mafrooza hai jiski koi haqeeqat nahi. Age kay farq ki wajah sey na to jawan burha hojata hai aur na hi burha naujawan ho jata hai.
|