Iss waqt sey yeh khayal aam ho gaya kay ganjey aadmi jinsi tor per zyada taqatwar hotey hain laikin iss khayal ko England kay Royal hospital mein ganjey aadmion ka mardana hormones testosterone ki studies ney ghalat sabit kar diya. Iss research mein 48 healthy aadmion ko jinki age ka average 40 years tha. Results kay baad ganjey aur aam aadmion kay khoon mein mardana hormone testosterone kay level mein koi farq nahi paya gaya aur na hi yeh sabit hua kay ganjey pan ka mardana quwwat kay sath koi ta'alluq hai. (Zakir)
Zyada Der Tak Jari Rehney Wali Mubashrat Zyada LutfAngaez Hoti Hai?
(Long Time Intercourse)
Yeh baat puri duniya mein mashhoor hai kay long time intercourse (zyada der tak jari rehney wali mubashrat) zyada lutf angaez hai. Issi liye duniya mein har insan mubashrat (Intercourse) kay time ko zyada karna chahta hai aur iss kay liye har qurbani deney ko tayyar hai. Iss ka liye puri duniya kay bazar medicines sey bharey parey hain. Jab kay haqeeqat yeh hai kay 75% to 80% khawateen sirf mubashrat (Intercourse) sey orgasm hasil nahi karti, chahey mubashrat (Intercourse) kitni hi taweel kyun na ho. Research sey maloom hua hai kay aurton ki majority bohut taweel mubashrat (Intercourse) ko pasand nahi karti. Kyun kay taweel mubashrat (Intercourse) sey inn ko lutf kay bajaey takleef hoti hai. Specially vagina mein lubricant na ho jo kay usually lambi mubashrat (Intercourse) mein kam ya khatam hojata hai. (Dastoor) Hite kay survey kay mutabiq aurton ki aksariyat taweel mubashrat (Intercourse) ko pasand nahi karti. Bharpoor jinsi lutf kay liye zyada waqt nahi bul kay mubashrat (Intercourse) ka tareeqa zyada ahem hai. Jiska tafseeli zikr meri kitab 'Azdawaji Khushiyan - For Men ' aur 'Azdawaji Khushyan - For Women' mein mojood hai.
|