Peeshab Mein Jalan Aur Khoon (Acidity In Urine):
Baaz auqat insan peeshab kartey huey jalan mehsoos karta hai. Iss ki barri wajah peeshab mein acidity (acidity in urine) ka zyada hona hai. Jo log gosht waghaera zyada khatey hain magar paani kam peetey hain, Inn kay urine mein acidity zyada ho janey ki wajah sey jalan hoti hai. Iss kay elawa prostate ya bladder mein infection ki wajah sey bhi jalan hoti hai. Kabhi kabhar peeshab kay sath khoon bhi kharij hota hai. Yeh khoon kabhi peeshab kay shuru mein, kabhi peeshab kay darmiyan mein aur kabhi aakhir mein ata hai. Iss ki kaee wajoohaat ho sakti hain magar aam wajoohaat mein bladder mein stone ka hona, peeshab (urine) ki naali, prostate glands ya bladder ka infection shamil hai. Magar iss ka insan ki mardana quwwat kay sath koi ta'alluq nahi. Inn soorton mein kisi achey urologist sey madad lein.
Mard Mein Aurat Sey Zyada Jinsi Khwahish (Libido)?
Aam logon ka khayal hai kay aurton mein mardon kay muqabley mein jinsi khwahish (libido) kam hoti hai jiski wajah sey woh mubashrat (Intercourse) mein active role ada nahi Karti. Iss mein koi haqeeqat nahi. Mukhtalif researches sey sabit hua hai jinsi khwahish kay lehaz sey mard aur aurat donon taqreeban baraber hain. Agar kuch farq hai to bohut mamooli, yani mardon mein jinsi khwahish bohut mamooli si zyada hoti hai. Albatta aurat ko mard kay muqabley mein apni jinsi khwahish per zyada control hai. Iss kay elawa fitri jhijhak aur haya ka bhi farq hai.
|