Le'haza aurat ko bharpoor muhabbat hasil karney kay liye bharpoor sex muhayya karni hogi. Ghareloo jhagro'n ki ek bohut bari wajah aurat ka mard ko bharpoor sex ka muhayya na karna hai, mard unn aurton kay shaeda'ee hotey hain jo unko bharpoor sex deti hain aur kabhi inkaar nahin kartiin.
Humarey haan taqreeban tamam biwia'n sexually active (jinsi amal mein fa'aal) kirdar ada nahin kartiin kabhi pehel nahin kartiin, jinsi amal kay doran woh ek zinda laash ki tarah bey hiss pari rehti hain jo kuch karna hota hai mard hi karta hai, khawateen to apney jinsi lutf ka izhaar bhi nahin kartiin. Aisi surat mein khawand manzil to ho jata hai magar sex sey lutfandoz nahin ho pata yani usko bharpoor sex nahin milti jiski wajah sey woh biwi ko bharpoor mohabbat nahin dey pata. Shayad khawateen ka khayal hai kay agar woh sexually active (jinsi fa'aal) hongi to khawand unko pasand nahin karey ga haqeeqat yeh hai kay aksar mard unn aurton ko pasand kartey hain jo jinsi amal mein fa'aal (sexually active) kirdaar ada karti hain aur khawand ko batati hain kay woh unkay sath sex sey lutf andoz hoti hain.
Amooman khayal kya jata hai kay zyada mubashrat sehat kay liye nuqsan deh hai jab kay haqeeqat bilkul iss kay ulat hai, aurton mein jinsi hormones ki zyada miqdaar aurat ki haddiyon ko mazboot karti hai jo kay menopause mein patli ho jati hain aur inn kay tootney ka khatra barh jata hai, iss kay elawa Estrogen ki zyada miqdaar khawateen ko dil kay masa'il sey bhi bachati hai aur zindagi ko khushi ka ehsaas deti hai. Baqaeda sex ki wajah sey aurat san yaas (menopause) kay bohut sey masa'il sey buch jati hai jis ka tafseeli zikar "burhapa aur jinsi zindagi" waley baab mein aaey ga.
|