Lekin agar biwi mubashrat kay doran apney jism, khusoosan faraj (vagina) kay paththo'n (muscles) ko bilkul dheela chor dey to amooman mubashrat mein takleef nahin hoti. Aam tor per shuru ki chund mubashraton mein kuch takleef hoti hai lekin yeh takleef bhi uss takleef sey kam hoti hai jo aurton ko zaiwar kay shoq main naak, kaan mein chaed karwaney sey hoti hai.
Jinsi (sexually) le'haz sey mard aur aurat mein fitri tor per bohut sexual differences (jinsi farq) hain, mard ma'amooli ishteaal (stimulation) sey bohut jald jinsi amal kay liye tayyar ho jata hai phir jun'hi mard jinsi tor per mushta'il ho jata hai to woh mubashrat kay zari'ay manzil ho kar jinsi sukoon hasil karna chahta hai lekin agar woh jinsi ishtia'al kay ba'ad manzil na ho to woh na sirf apney aap ko ghaer mutma'in mehsoos karta hai bul kay shadeed jhunjhalaahat aur takleef (discomfort) ka shikar ho jata hai. Agar mard ko biwi kay adum ta'awwun ki wajah sey bar bar iss tajurbey sey guzarna parey to phir ya to woh jins mein dilchaspi kho deta hai, ba'az intihaee surto'n mein to woh na mardi ka shikar ho jata hai ya phir doosri aurton ki taraf maa'il ho kar gunah ki daldal mein dhans jata hai. Isi liye Allah kay nabi ney farmaya : "shohar jab biwi ko apni zaroorat kay liye bulaey to woh foran uss kay liye hazir ho jaey chahey woh tanoor per bethi ho (roti paka rahi ho)"(tirmazi) Ek doosri hadees mein irshaad hai kay shohar jab bhi apni biwi ko apney bister per bulaey aur woh inkaar kar dey to farishtey subah tak uss per la'anat bhejte rehtey hain (bukhari)
Jinsi tayyari kay liye waqt kay le'haz sey bhi donon mein bohut difference (farq) hai mard jinsi amal kay liye jald tayyar ho jata hai, mard do teen minute kay jinsi ishti'aal sey manzil ho kar orgasm (intiha-e-lazzat) hasil kar leta hai, jab kay aurat ko orgasm hasil karne kay liye
|