Islam mein khufya shaadi sey mana kya gaya hai, ba'az fuqha'a kay nazdeek khufya shaadi zina kay baraber hai. Hazrat Muhammad ka irshaad hai kay halal-o-haram mein hadd e faazil nikah ki shuhrat aur duf hai. (tirmazi)
Shaadi kartey waqt iss cheez ka bhi dhayan rakha jaey kay donon mian biwi kay qad chotey na hun aisi surat mein usool e wirasat kay mutabiq aksar bachon kay qad chotey honge jis ki wajah sey yeh bachay ehsaas e kamtari ka shikar ho jaengey aur bachiyon ki shadiyon mein masa'il paeda hongay, yani donon mein sey ek ka qad laziman lamba hona chahiyie. Iss tarah donon mian biwi kay rung bhi zyada sa'nwley nahin honey chiahiyien iss surat mein bhi usool-e-wirasat kay tehet aksar bachon kay rung sa'nwley hongey aur yeh becharey ehsaas-e-kamtari mein mubtala ho jaeingey mazeed bar aa'n larkiyon ki shaadi mein diqqat paesh aaegi chuna'ncha behter yahi hai kay mian biwi mein sey ek ka rung zaroor gora hona chahiyie. |