Bazer (Clitoris) ko mushta'il karney sey aurat laaziman jinsi urooj hasil kar leti hai, yeh jinsi ishtia'al mein akarr jata hai magar jinsi ishtia'al kay urooj aur orgasm kay ba'ad sukarr jata hai. Bazer ka jinsi lutf kay elawa aur koi maqsad nahin chu'n kay yah faraj sey kafi duur taqreeban derh inch (1.5inch) kay faasley per hota hai jis ki wajah sey aam haalaat mein mubashrat kay doran zakar (penis) iss ko touch nahin karta isey amooman ungli sey hi chuna aur mushta'il karna parta hai, bazer ko chuna faraj kay chuney sey zyada lutf angaez hota hai. Aurat kay jinsi urooj kay ba'ad yeh zyada hassas ho jata hai phir aurat ko isey chuna napasand hota hai, chuney sey usey takleef hoti hai, taa'hum iski hassasiyat badalti rehti hai. Iska sab sey hassas hissa iska ooper wala hota hai agarchae iss kay pehlu (sides) bhi bohut hassas hotey hain.
G Spot Bazer kay ba'ad aurat ka doosra jinsi hissa g spot kehlata hai, iss ko ek german doctor Grafen Berg ney 1950 mein daryaaft kya aur ab yeh usi kay naam sey mosoom hai. Agar aurat muu'nh aasman ki taraf kar kay laet jaey to yeh maqam uski faraj kay ek do inch ander faraj ki ooper wali deewar mein hota hai. G spot ko mushta'il karne sey aurat zabardast orgasm hasil karti hai magar yeh orgasm khud lazzati (Masturbation) aur dakhool yani mubashrat kay orgasm sey mukhtalif hota hai magar bohut lutf angaez. Yeh amooman chotey lobia (kidney bean) ki shakal ka hota hai magar ragarney sey mushta'il ho kar dugna ho jata hai taa'hum har aurat kay G spot kay size aur maqam mein farq hota hai G spot mushta'il karne sey aurat ko jhatka lagta hai, jagah sooj jati hai
|