Hazrat Abdullah bin Omar ka irshad hai kay mubashrat kay waqt apni biwi ki sharam gaah ko dekhna afzal hai iss liye iss ki wajah se iss ki lazzat ko zyada mukammal aur bharpoor tareeqey sey hasil kya ja sakta hai. (hidaya)
Kitaab mein a'aaza e makhsoosa ki tasaweer shamil nahin ki gaeen taa'hum aap isey khut likh kar hum sey hasil kar saktey hain.
Jinsi Le'haz Sey Hassas Hissey
Erogenous Zones
Waisey to aurat aur mard ka tamam jism hi erogenous zones (jinsi le'haz sey hassas)hota hai magar kuch maqamaat doosro'n sey nisbatan zyada hassas hotey hain jinsi lutf kay liye ek doosrey kay hassas hisso'n sey aagahi hasil karna bohut zaroori hai.
Jinsi Le'haz Sey Aurat Kay Hassas Hissey
(Female Erogenous Zones)
Bazer (Clitoris) Maahireen kay mutabiq aurat kay jism ka hassas tareen hissa uska bazer hai taa'hum kuch aurton ki faraj (vagina) zyada hassas hoti hai, bazer aurat kay a'aaza-e-makhsoosa kay ooper waley hissey mein jahan inner labias (androoni lub) miltey hain mojood hota hai yeh murghi ki kalghi ya matar kay daaney jaisa hota hai iss ka size amooman 1/ 4 ta 1/5 inch hota hai taa'hum iss ka size chota, bara ho sakta hai, bazer ko aurat ki taa'ngein khol kar aasani kay sath dekha ja sakta hai, achi tarah dekhney kay liye iss kay hood ko ek taraf kar dein.
|