Taangei'n aagey ko phela lei'n magar ghutney kharey hun taangei'n thori si khol lein aapka muunh roshni ki taraf ho bister per na bethei'n woh narm hota hai jis ki wajah sey fard neechey ko dhuns jata hai jis ki wajah sey sahi mua'aina nahin ho sakey ga. Mua'ainey kay waqt ek aainey ko Female Genital organs (a'aaza e makhsoosa) kay bilkul samney rakh kar unka sarsari jaeza laein phir ek hath mein torch pakrein aur doosre hath se a'aaza-e-makhsoosa kay baerooni labon ko kholein to iss kay neechey aapko surkh rang kay androoni lab nazar aaeingey, inka ba'ghor jaeza lein ooper ki taraf jahan androoni lab miltey hain wahan aap ko ek dana sa nazar aaega jo kay aap ka bazer (clitoris) hai. Iss kay ooper topi si hoti hai agar aap apni zubaan ko baher nikal kar us sey apni thori ko chooney ki koshish karein to zubaan neechey latak jaegi iss tarah bazer neechey ko latak raha hota hai iss ka kuch hissa jism kay ander aur kuch bahar hota hai. Iss sey taqreeban ek inch neechey peeshaab ki naali ka suraakh hota hai, iss sey bhi neechay faraj (vagina) hoti hai, bilkul neechey magar labon kay baher maq'ad (anus) hoti hai. Itminaan kay sath inn sab a'aazaa ka achi tarah mua'aina karein kay konsi cheez kahan hai taa kay mubashrat kay waqt aap dakhool mein khawand ki rehnumaee aur madad kar sakein. Kahin aisa na ho kay khawand mubashrat kay waqt koi ghalti kar bethey. Guzishta dinon merey paas Europe sey ek naujawan elaaj ki gharaz sey aya usey aurat kay a'aaza e makhsoosa ka tafseeli ilm na tha chuna'ncha pehli raat mubashrat kay doran ghalti sey usney maq'ad mein dakhool kya jis ki wajah sey bohut sey masa'il paeda ho gaey, aakhir kaar usey biwi ko talaq deni pari. Khawand ka biwi kay jism ko dekhna gunah nahin. Hazrat Muhammad ka irshad hai kay apni sharam gaah ko pardey mein rakho magar apni biwi sey na chupao. (abu daud, ahmed, tirmazi)
|