ya phir ek month mein ek bar aur agar insan bilkul hi control nahi kar sakta to week mein ek bar sey zyada mubashrat (Intercourse) kisi bhi surat mein nahi karna chahiyie kyun kay mani (seminal fluid) taqat hai, khoon sey bhi zyada qeemti lehaza iss ka zyada ikhraj sey insan kamzor ho jata hai.
Neem hakeemon ka khayal hai kay zyada mubashrat (Intercourse) karney sey jism ko tarhan tarhan ki beemariyan lag jati hain, jism dhal jata hai. Mardana quwwat kamzor hojati hai. Aasab dheeley parr jatey hain. Iss sey pura jism mutaassir hota hai. Specially dimagh sab sey zyada mutaassir hota hai (Americans zyada mubashrat (frequent intercourse) karney kay bawajood ilm mein sari duniya sey aagey hain) iss kay elawa tremors (Rasha), paralysis (Falij), Tetnus (Tashannuj), Weak Eyesight, Vertigo (Chakkar ana), Backache, Kidney pain, Polyuria (Zyada peeshab ana), Gastric disturbance, Heart ki beemariyan, Chest ki beemariyan etc paeda ho saktai hain. Yeh sab kuch ghalat hai. Iss ki koi haqeeqat nahi. Research sey kuch bhi sabit nahi hua. (Mobeen: Hyde) kiya zyada bolney sey zaban kamzor ho jati hai ya zyada thookney sey insan kamzor ho jata hai. Hafiz Ibn Qaim ney farmaya tha kay agar pani na nikala jaey to well khushk hojata hai. Mubashrat (Intercourse) chahey kitni hi kyun na ho nuqsan deh nahi. Ek din mein 10 times ki ja sakti hai. Mera ek client ek din mein 8 times kar leta tha. Ek aur client ney shadi kay pehley 2 saal rozana 4 to 5 times mubashrat (Intercourse) ki aur next ten years mein iss ney koi nagha nahi kara. Sirf menses kay doran avoid kara. Merey ek aur naujawan client ney half hour mein 3 times mubashrat (Intercourse) ki.
Iss hawaley sey ek ahem baat yeh hai kay jo log jawani mein zyada mubashrat (Frequent Intercourse) kartey hain woh old age mein jinsi tor per zyada active hotey hain.
|