Jiski koi scientific haqeeqat nahi. Aksar naujawan shaadi kay initial months mein ek raat mein 3 sey 4 bar mubashrat (Intercourse) kar letey hain jis sey kisi tarhan ka koi nuqsan nahi hota. (Mobeen: Hyde)
Mubashrat (Intercourse) Jitni Kam, Umer (age) Utni Zyada?
Hamarey yahan ek dilchasp sexual misconception hai kay husband wife jitna kam mubashrat (Intercourse) karein gey inki umer (age) utni hi lambi hogi. Doosrey alfaz mein mubashrat jitni zyada hogi umer utni hi kam hojaey gi. Hamarey yahan zyada ter isi usool per amal kya jata hai aur mubashrat (Intercourse) sey perhaiz kar kay umer ko zyada karney ki koshish ki jati hai. Phir bhi hamarey yahan average age 56 sey aagey nahi barhti hai. Dusri taraf developed countries mein hamarey muqabley mein bohut zyada mubashrat (Intercourse) hoti hai magar wahan per average age 70 years sey zyada hai. West mein iss mozou per bohut research ho chuki hai. Jis sey yeh dilchasp haqeeqat saamney aaee hai kay woh log jo kam mubashrat (Intercourse) kartey hain inki age unn logon sey kam hai jo zyada mubashrat kartey hain. (Time)
60 Saal Kay Baad Jinsi Jazbat Aur Jinsi Quwwat Khatam Hojati Hai?
Doosrey bohut sey mafrozon ki tarhan yeh bhi ek nehayat ghalat aur ahemaqana mafrooza hai jiski koi haqeeqat nahi. Age barhney kay sath sath insan kay jinsi amal mein kuch tabdeeliyan aa jati hain. Tahem agar insan ki general sehat theek hai to woh martey dam tak mubashrat (Intercourse) kay qabil hota hai. Famous actor Charlie Chaplin 80 saal ki age mein ek week mein 3 ya 4 bar sex (mubashrat) sey luft andoz hota tha.
|