Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Sex Preparation - Jinsi Amal  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
34751
 
Sex Preparation - Jinsi Amal

 Mian kay inzal ko rokney ka ek aur mu'asser tariqa yeh hai kay foreplay aur mubashrat kay darmiyan uss kay zakar ko topi ya jarr sey pakar kar zor sey bhee'nchein iss tarah aap uskay inzal ko multawi kar sakein gi. Iss tarah woh aap kay sath sath rahey ga, uska foreplay aur mubashrat ka waqt taweel ho jaey ga aur agli baar bhi aisa hi chahey ga. Taa'hum kisi waqt achey mood mein mian ko bata dein kay aap (biwi) tayyar honey mein jitna zyada waqt leingi utna hi zyada garam hongi aur khawand ko itna hi zyada lutf muhayya kar sakein gi.

    Iss kay elawa aap din kay waqt jinsi amal (sex) sey bohut pehley apney aap ko jinsi amal (sex) kay liye tayyar karein maslan kaam per, bus mein, kitchen mein, burten dhotey huey aur bath room mein ghusal kartey huey sex kay barey mein sochein, tasawwur karein kay khawand kay hath aap ki pasandeeda harkaat kar rahey hain, aap kay hassas hisson ko mushta'il kar rahey hain. Aap khud bhi apney aap ko chuu sakti hain, mushta'il kar sakti hain, her ek do ghantey ba'ad sirf 30 seconds ka pasandeeda jinsi tasawwur karti rahein phir ju'nhi jinsi amal (sex) shuru hoga aap ko lambey foreplay ki zaroorat na parey gi, aap jaldi tayyar ho jaeingi aur jald orgasm hasil karleingi.

    27.  Agar aap mian sey pehley orgasm hasil karlein to orgasm kay khushgawar ehsaasaat sey poorey jism ko lutf andoz honey dein tasawwur karein kay yeh ehsaasaat aap ki raano'n, paet, dil aur dimagh waghaera mein ja rahey hain sath sath khawand kay sath chimti rahein.

 

 
 
<< Next       Prev >>
114115116117118119120121122123124
 
Tell a Friend
 
   Home
 
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum
   Daily Questions
   Islam and Sex
  
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012