Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Old Age (Burhey logon) ko bhi aam naujawanon ki tarah sex ki zaroorat hai, iss sey na sirf sehat behter hoti hai bul kay umer (age) bhi barhti hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Sex And Old Age - Burhapa Aur Jinsi Zindagi  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
31413
 
Sex And Old Age - Burhapa Aur Jinsi Zindagi

 Yeh kami testosterone ley kar puri ki ja sakti hai. Magar iss hormone ka baghaer kami kay lena nuqsan deh hota hai. Ek recent research ka mutabiq 80% sey zyada age ka healthy afraad mein 65% mard aur 30% aurtein jinsi tor per active hai. (Hyde) 

Kiya Boorhon (Old Age) Ko Sex Ki Zaroorat Nahi? 

    Merey ek sathi mahir e nafsiyat Syed Sabir Hussain ney apna ek case merey sath discuss kara. Barey miyan shadeed tanhaee aur depression ka shikar thay. Nafsiyati elaj kay doran maloom hua kay inki biwi bhi hayat hain aur issi ghar mein mojood hain magar donon alag alag rooms mein sotey hain aur donon tanhaee ka shikar hai. Hamarey yahan bad qismati sey samjha jata hai kay old age parents ko sex ki zaroorat nahi. Jiski wajah sey inn becharon ko mubashrat (Intercourse) kay liye tanhaee nahi milti. Awwal to donon ko alag rooms mein sona parta hai ya phir maa (mother) ek son kay pass rehti hai aur father doosrey son kay pass. Iss tarhan donon na sirf jinsi lutf sey mehroom rehtey hain bul kay shadeed tanhaee ka shikar ho kay waqt sey pehley hi maut ki wadi mein gum ho jatey hain. Bohut si researches sey yeh baat sabit ho chuki hai kay old age logon ko bhi aam jawanon ki tarhan sex ki zarorat hai. Kyun kay bharpoor jinsi zindagi sey na sirf sehat behter hoti hai bul kay age mein bhi izafa hota hai. Iss kay elawa mardon mein arthritis, prostate aur heart attack kay masail bhi kam ho jatey hain. Lehaza zehni sukoon, achi sehat aur lambi umer kay liye old age logon ko week mein ek bar zaror mubashrat (Intercourse) sey luft andoz hona chahiyie.

 

 
Sex And Old Age - Burhapa Aur Jinsi Zindagi
 
<< Next       Prev >>
102103104105106107108109110111112
 
Tell a Friend
 
   Home
 
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum
   Daily Questions
   Islam and Sex
  
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012