-
amooman 8/10 hafton mein mukammal control hasil ho jata hai ya kabhi pehley bhi kabhi kuch der ba'ad bhi.
-
Agar mian aap ki madad sey iss masley per control hasil na karsakey to phir kisi achey mahir e nafsiyat sey elaj karaey.
Mardana Kamzori
Erectile Dysfunction
Mardon ka ahem tareen masla Erectile Dysfunction (mardana kamzori) hai. Erectile dysfunction ko aam tor sey male impotence kaha jata hai.Iss mein ba'az auqaat to mard ko tana'u hota hi nahin ba'az afraad ko tana'u to hota hai magar dakhool kay waqt ek dum khatam ho jata hai aur kuch afraad ka tana'u dakhool kay ba'ad khatam ho jata hai jis ki wajah sey woh mubashrat ko jari nahin rakh sakta. Agar yeh masla kuch arsa jari rahey to ba'az intehaee surton mein naujawan pagal ho jatey hain aur ba'az khudkushi tak kar letey hain iss surat mein shaadi ka qayem rehna na mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai. Merey paas kaee aisey cases aaey jahan iss wajah sey alaehdgi ho gaee sharmindagi ki wajah sey yeh log jald elaj kay liye nahin aatey, amooman yeh log surat e haal kafi bigarrney kay ba'ad aatey hain.
Jab fard ko kisi bhi waqt tanau hota ho to iss ka masla jismani nahin bul kay nafsiyati hota hai yeh masla jawani mein taqreeban 100% nafsiyati hota hai aksar wajah naakami ka khauf aur khud lazzati kay hawaley sey kamzori ka khauf aur wahem hota hai albatta 40 saal ki umar kay baad bohut sey logon kay masley ki wajah jismani ho sakti hai. Yeh beemari ya kisi beemari ki adviyat kay side effects hotey hain.
|