ishaarey per 5 ta 20 second kay liye rukk jaein jab inzal ki khwahish khatam ho jaey to phir dobara ishte'aal shuru karein teen baar isi tarah karein aur chothi baar usey inzaal karwadein.
Jab baghaer inzal kay aap 5 minute chikney hath sey musalsal mushta'el kar sakein to phir agla qadam uthaein ab aap khushk hath sey wahi mushq karein magar ab inzal kay qareeb rukna nahin bul kay ahista ho jana hai. Inzal ki khwahish khatm honay per mian kay ishaarey per ishte'aal ki raftaar kuch taez kar dein iss tarah teen baar karein aur chothi baar ishte'aal jari rakhein hatta kay woh manzil ho jaey.
Jab aap ek do baar raftaar kam kar key musalsal 15 minute usko mushta'el karein aur woh manzil na ho to agla qadam uthaein iss mein ab wahi mushq chikney hath sey karein yani mian kay zakar ko chikney hath sey mushta'el karein inzaal kay qareeb uss kay ishaarey per raftaar sust kar lein inzaal ki khwahish khatam honay per harkat ko taez kar dein iss tarah teen baar karein aur chothi baar usey manzil kardein.
Jab aap inzal kay baghaer ek do baar raftaar kam kar key 15 minute musalsal chikney hath sey yeh mushq kar sakein to agla qadam mubashrat ka hoga iss kay liye pehley foreplay karein jab tana'u poora aa jaey to mian aankhein bund kar kay pusht per laet jaey aap uss kay ooper sawaar ho jaein aap ka wazan aap ki taangon per ho. Zakar ko faraj mein daakhil karein iss kay liye hath na lagaein dakhool kay ba'ad aap ney hilna nahin bul kay saakin rahein aur thori der sukoon sey bethi rahein jab mian control
|