Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Ehtelam (Nocturnal Ejaculation) mani kay ikhraj ka doosra behter rasta hai. Ehtelam ek normal aur sehatmand kaifiyat hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Ehtelam - Nocturnal Ejaculation  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
228443
 
Nocturnal Ejaculation

Ehtelam  (Nocturnal Ejaculation)

 

    Ek dubla patla naujawan merey clinic mein aaya, woh bohut pareshan tha. Uss ney bataya kay woh din ba din kamzor hota ja raha hai, uski mardana quwwat khatam hoti ja rahi hai. Meine wajah poochi to bataya kay usey haftey mein ek baar Ehtelam  ho jata hai. Meine uss sey poocha kay kya woh bachpan mein mota taza tha uss ney bataya kay woh bachpan hi sey dubla patla hai. Meine poocha kay kya usey bachpan mein bhi Ehtelam hota tha uss ney nafi mein sar hilaya yani uss kay dubley pan ki wajah Ehtelam na tha magar woh iss ko wajah samajh kar pareshan tha. 


    Mani kay ikhraj ka doosra behter rasta ehtelam hai jin naujawano ko mubashrat ya khud lazzati ka kasrat sey moqa nahin milta unn ko Ehtelam ho jata hai. Yani sotey mein khwab mein ya khwab kay baghaer peeshab kay rasta mani kharij ho jati hai. Iss kay baad ghusl farz ho jata hai, albatta iss sey roza nahin tootta. Hazrat Abu Hurera sey marvi hai kay RasoolAllah ney farmaya kay teen cheezon sey roza nahin tootta, pachna, qaey aur Ehtelam . (Abudaud)          

           
    Yeh amal 8, 10 saal ki umer sey shuru ho sakta hai. Behter hai kay bachay ko iss kat muta'alliq paeshgi bata diya jaey warna isey jinsi beemari samajh ley ga aur khauf zada aur pareshan ho jaey ga. Phir kisi neem hakeem kay hutthey charh kar sehat aut rupya zaya karey ga. Ehtelam ek bilkul normal aur sehat mand uzwiati amal ya kaifiyat hai jis kay barey mein pareshan honay ki zaroorat nahin.

 

 
Ehtelam - Nocturnal Ejaculation
 
<< Next       Prev >>
1415161718192021222324
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012